Khauf e khuda
KHAUF E KHUDA
ibne ali ibne hasan razi Allah anhum ka rona
Hazrat zainul Aabedeen bin ali bin hasan razi Allah anhum jab wazu se farig hote to kampne lagte , logon ne sabab maloom kiya to Aap ne farmaya : tumhe pata nahi ke mai kis ki barghah me ja raha hun aur kis se monajaat ka iradah kar raha hun -
Ref ( Makashefatal qoloob , page :423
Allah ta'ala ka farman : افمن ھذا الحدیث تعجبون و تضحکون و لا تبکون
Tarjama:- to kiya is baat se ta'ajjub karte ho aur hanste ho rote nahi
Ref ( parah :27 , ruku , 7 , kanzul imaan
Hadees shareef :- is Aayat ke nazil hone ke baad Nabi e rahmat shafee e ummat صلی الله علیہ وسلم kabhi nahi hanse , sirf tabassum farmaya karte the
Hazraat :- ummat ki fikr ka ye haal tha , ye sab kuchh ummati ke gham me tha warna Aap Allah ta'ala ke habeeb w mahboob hain صلی الله علیہ وسلم
Aur ek rawayat me ye hai ke is Aayat ke nozool ke baad Aaqa kareem صلی الله علیہ وسلم ko hanste w muskurate hue nahi dekha gaya yahan tak ke Aap ka wesaal shareef ho gaya
Ref ( Tafseer e ruhul bayan , jild : 15 , page :111 , Makashefatal qoloob , page :626
Hadees shareef :- Hazrat umar razi Allah ta'ala anhuma se rawayat hai ke ek din mustafa kareem صلی الله علیہ وسلم masjid e kareem se bahar tashreef laye to kuch logon ko dekha ke hans hans kar baten kar rahe the to Aap صلی الله علیہ وسلم unke paas tahar gaye unhen salam kiya aur unse farmaya ke dunya ki tamam lazzaton ko munqata karne wali maut ko aksar yaad kiya karo - bhir ek martabah Aap ka guzar ek aise jama'at se hua jo hans rahe the to Aap صلی الله علیہ وسلم ne unhe dekh kar farmaya : wallah agar tum wah jante jo mai janta hun to tum kam hanste aur ziyadah rote
Ref ( Hulyatul auliya , jild , 9 , page:263 )
next post insha Allah soon
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
next post insha Allah soon
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments