Darmiyani ummat
DARMIYANI UMMAT NAME RAKHNE KEE WAJAH
Is post ka name "Darmiyani ummat" kiyon rakha gaya? baat dar'asl yah hai ki is ummat yani ummate muhammadi Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko Allah ta'ala ne quran-e-pak mein "ummat wast" ya'ni darmiyani ummat se tabeer farmaya hai irshad farmata hai:
TARJAMA:- aur aise hee hamne tum ko banaya darmiyani ummat ( Afzal ummat ) taki tum logon par gawah raho
Ref ( Para 2, Ruku 1 )
"Wast ke lugwi ma'an us jagah ke hain jo darmiyan aur beech mein ho dono'n kinaron se uski doori bilkul barabar ho aur choonki aamtaur se gadbadi fasaad w kharabi kinaron aur atraf mein aatI hai , darmiyan kee cheez galiban mahfooz sahi w salim umda w behtareen hoti hai isliye ulmae mufassereen ne iske ma'an afzal aur behtareen ummat likhe
Insanon kee aadaton aur khasalton mein bhi umooman darmiyani aur beech kee rawish acchi hoti hai, maslan kanjoos hona bhi ek buri aadat hai aur fuzool kharchi bhi ek kharab rawish hai aur in dono'n ke beech ka rasta jo sakhawat hai wah umda aur acchi aadat hai josheela aur jazbati hona bhi mazmoom hai aur buzdil aur kam Himmat hona bhi acchi nazron se nahin dekha jata lekin in dono ke darmiyan ka tareeqa jo shuja'at aur bahaduri hai
Duniya uski tareef karti hai qad w qamat mein bahut zyada lamba insan bhi accha nahin lagta aur nata aur bauna hona bhi aib mana jata hai bahut zyada mote insan ko dekh kar log hanste hain aur zyada duble patle sookhe hue ko bhi girl nazron se dekhte hain insan kee umr mein jawani jo budhape aur bachpane ke darmiyan kee umr hai kaun nahin janta ki wahi maqsade zindagi aur hasil hayat hai aur khane peene sone aur zindagi se luft andoz hone ka wahi zamana hai sookhe aur qahtasali se bhi barbadi aatI hai aur barish ki bahut zyada bhi sailab kee shakl mein tabahi latitude hai bahut zyada Garmi se bhi insan kee tabee'at ghabrati hai aur naqabile bardasht sardi bhi use bechain kar deti hai garaz yah ki aadate ho ya doosre samaji kam umooman darmiyan mein hona hee afzal w behtar w pasandida hai
Ummate wast ke ma'ana mein mufassereen kiram ne yah bhi farmaya hai ki pichli ummate gulu aur taseer mein mubtala huie "gulu" ke ma'ana hai tareef mein had se aage Badh jana aur "taqseer" ke ma'ana hain martabe ko ghatana aur tauheen w tazleel karna maslan hazrate isa Alaihis'salam ke mamle mein nasara yani isaee had se aage bad gae aur unhe khuda e ta'ala ka beta qarar diya aur baaz ne Unhe khuda hee man liya aur yahoodiyon ne isa Alaihis'salam kee maa'n hazrate Maryam ko zaniya aur badkar qarar de kar janab isa ko walduzzina ( zina se paida hone wala ) Kah dala
Allah ta'ala kee panah Islami nuqtae nazar se hazrat sayyadena isa Ala nabi yyina w Alaihis'salam na khuda hain na khuda ke bete na kisi zaniya ke bacche balki khuda e ta'ala ke barguzeeda ( pyare ) bande sahibe azmat w jalal paigambar , nabi aur Rasool hai
Ahkam w masail ke mamle mein bhi sharee'ate islamiya ek darmiyani rasta hai jiski tafseel kee main yaha zaroorat nahin samajhta
Ek hadees mein paigambar e islam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne saaf taur par farma diya hai ki beech ka aur darmiyani rasta hee seedha aur saccha rasta hai aur jo idhar-udhar hai wah sab tede aur gumrahi ke rastey hain
HADEES:- Hazrate Abdullah bin masood Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne hamare liye ek KHAT ( lain ) kheecha fir farmaya yah Allah ta'ala ka rasta hai uske baad daye aur baye KHAT kheenche aur farmaya ki yah wah rastey hai jin mein se har ek par shaitan hai jo apni taraf bulata hai
Ref ( Mishkat , babe etisaam bilkitab walsunnah, safah 30 )
Aur haqeeqat yahi hai ki ek nuke se jab ek seedha KHAT kheench diya jae fir usi nukte se dahine aur baye jo khutoot yani laine khinchi jayengi wah sab tedhi hongi aur darmiyani mein na chal kar idhar-udhar ko bhangegi neeche ke nakshe se bhi is baat ko samajha ja sakta hai:
I's naqshe se zahir hai ki seedha aur darmiyan ka rasta sirf ek hai 👆 aur uske dahine baye jo raste hain wah sab tedhe hain yani idhar-udhar ko bhangegi wale hai aur yah sab gumrah ke raste hain quran e kareem mein ek aur jagah farmaya gaya :
Tarjama:- "aur beech ka rasta thik Allah tak hai aur kuch raste tedhe hain"
Ref ( Para 14, Ruku 7, Sureh Nahal )
Ummate muslima ko khuda e ta'ala ne Quran e kareem mein darmiyani ummat farmaya tou ummat mein firqe aur giroh ho Jane ke baad bhi ahle haq wa sadaqat ko aaj tak darmiyan hee mein rakha yani jis tarah islam jhoote mazhabon ke darmiyan gulu w taqseer ( kami aur zyadati ) se paak beech ka seedha rasta hai aise hee islam ke name lewa batil aur jhoote firqon mein aqaid w nazriyat ke atibar se firqae najiya ahlesunnat waljama'at hamesha se darmiyan hee raha hai aur aaj bhi hai pesh nazar auraq jo ek kitabche kee shakl mein banam "darmiyani ummat" aapke hathon mein hai unme isi ijmal kee qadare tafseel, isi raaz ka inkishaf mulahiza farmayenge
Aur yaqeenan ahle iman ko yah jaan kar badi khushi hogi ki farmane ilahi ke mutabiq aaj tak wah darmiyan hee mein chale aa rahe hain
Post likhne ke mamle mein faqeer ka ab tak ka jo mamool aur tareeqaekar hai ki main aamtaur se boli jane wali zaban yani aam bol chal mein apne dil kee baat doosron tak pahunchane ka aadi hoon wuh yahan bhi rahega yani bajae apni qabiliyat dikhane ke awam bhaiyon ko fayadah pahunchane kee koshish kee jae
Ab Aap post ka mutala'a keejie aur mulahiza farmaye ki kis tarah khudae ta'ala ne aaj tak ahle haq ko darmiyan mein rakha hai
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen
No comments