Deeni maloomat
DEENI MALOOMAT
AAO DEEN PAR CHALE
Deendari doosron par tanqeed karne ke liye na ho
Taqwe taharat , khoob zyada ibadat wa riyazat walon ko yah bhi khoob yaad rakhna chahiye ki wah un musalmanon ko haqeer na samjhe aur girl nazron se na dekhe jo unki barabari nahi kar pate balki Allah ke auron se zyada shukr guzar bankar rahe ki Allah ne tumhe taufeeq dee unhe na dee namaz kee har rak'at me jo do sajde rakhe gaye uski wajah ahle ilm ne yah batai hai ki Allah ta'ala ne hazrat Aadam Alaihis'salam ke liye sajde ka hukm farishton ko diya tou sab farishton ne sajda kar liya lekin azajeel inkar karne kee wajah se mardood malun qarar diya gaya to farishton ne pahle sajde kee taufeeq ke shukrane ke liye ek sajda aur kiya
Mashahoor zamana soofi aur bujurg hazrat sayyadena shekh saadi Rahmatullah ta'ala Alaih Farmate hain ki maine bachpan mein ek martaba apne walid bujurgwar ke sath shabbedari kee sari raat ibadat w tilawat mein guzari kuch log so rahe the tou maine kaha in logon me se kisi ne yah bhi nahi kiya ki raat me uth kar do 2 Rak'at nafil namaz padh leta tou walid bujoorgwar ne farmaya Ae mere pyare bete agar too bhi sota rahta tou is geebat aur doosron kee aebjoee se accha hota hai
Ref ( Gulistaan baab, 2 )
Ha'n jo log faraeez w wajibaat kee aayegi me kotahi karte hon haramkariyon ke aadi ho un par islah w sudhar kee niyat se malamat w tanqeed kee ja sakti hai apne zaat kee bartari aur badaee ka isme bhi dakhal na ho...
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen
No comments