Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

HAZRAT ISMAEEL ALAIHIS'SALAM 

Khuda ta'ala ne hazrat ibraheem Alaihis'salam ko janwar, bakariyan ,  kheti ka saman aur bahut kuch diya tha 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ke dil mein khayaal aaya ki khuda ka ham par bahut karam hai, usne hame duniya aur aakhirat kee nemat bskhshi hai agar wah apni rahmat se mujhe ek beta inayat kare tou wah Nuboowwat aur risalat ke kaam mein hamara waris hoga 

Khuda ne unki yah nek khawahish poori kee aur unhe hajra ke pet se ek ladka inayat farmaya baap ka dil baag-baag ho gaya hazrat ibraheem Alaihis'salam ke munh se nikla: 

Tarjama:- "us khuda ka shukr hai jisne mujhe budhape mein ismaeel diya"

Is tarah hazrat ibraheem Alaihis'salam ne khuda ka shukr Ada kiya budhape kee aulad bahut pyari hoti hai hazrat ibraheem Alaihis'salam hazrat ismaeel se bahut muhabbat karte the hukm ilahi pahuncha 

"Ae ibraheem  maa'n -bete ko biyaban mein chod aur kisi ka khauf na kar"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam bechain dil aur Aansuon bhari aankhen lekar Makka kee taraf bade Makka ke qareeb ek maidan mein hazrat hajra aur hazrat ismaeel ko chodkar ghar kee taraf baag mod lee 

Biwi hajra ne sabr ke sath bachche ko god mein liya ( wah pareshan thi ) maidan khushk aur Garm tha waha'n na Aadam , na aadamzaad Biwi hajra ne roar kaha , 'Aap mujhe aur is bachche ko is biyaban mein kis ke supudr kar rahe hain aur kuch kahte bhi nahi'n hai?

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ka dil bhar aaya aapne farmaya, "wahi khuda tumhari hifazat karega jo sare jahan ka nigahaban aur hifazat karne wala hai" 

Hazrat hazrat boli:

HASBIYALLAHU WA TAWAKKALTU ALLLAH "

TARJAMA :- "Allah mere liye kafi hai, maine Allah hee par bharosa kiya" 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne mulk sham kee raah lee aur kuch khurma aur ek chagal pani unhe diya maa'n -bete par Nazar daal kar khuda se yah dua ki: 

Tarjama :-"Hamare Rab , maine ek aisi ghati mein jo kheti ke layaq nahin ,  apni aulad ka ek hissa tere izzat wale ghar ke paas basa diya hai hamare rab , taki wah namaz qayam kare, lekin logon ke dilon ko unki taraf jhuka de aur unhe paidawar kee rozi ata kar shayad we shukr guzar ho.

Jab hazrat hajra ka pani aur khaja khatm ho gaya tou bahut dilgeer huie bachche kee pyas unse dekhi na jati thi samjha kee shayad aakhiri waqt aa gaya hai koie khuda ke faisale se kaha'n tak bhag sakta hai wah pani kee talash mein daud kar safa pahad par pahunchi idhar-udhar nazar daudai lekin kahi pani dikhai na diya aur koie aadmi bhi nazar na aaya jisse wah pani talab karti fir wah waha'n se daud kar marw: pahad par aayi aur 

"AL ATASH ! AL ATASH !' ( pyaas ! pyaas ! ) 

Kah kar khuda kee bargah mein fariyad kee , lekin kahin pani ka nishan na mila pyase bachche ka khayal aata tou wah uske paas pahunchti aur chatI se lagati , fir bachche ko chodkar safa-marw: ka chakkar lagati is tarah unhone saat chakkar lagae 

Aakhir mein hazrat hajra ne bachche ko dekha ki wah zameen par apni eidiya maar rahe the khuda ne bachche ke qadmon ke neeche se pani ka ek chashma jari kar diya tha jab hazrat hajra ne pani ka chashma dekha tou boli , khudaya teri meharbaniyon aur nematon ka shukriya'! 

Hazrat hajra ne chaha ki pani se chalag bhar le gaib se aawaz Aaee, "yah pani rahmate ilahi se hai bhar mat yah kam hone ka nahi hai yah faiz jari rahega khuda ne teri aur tere pyare kee hifazat ka yah saman kiya hai yah bachcha aur iska baap khuda kar ghar banaega aur tamam duniya HAJ aur tawaf ke liye aayegi " is khuskhabri ko sunkar wah bahut Khush huie unki khushi ka koie thikana na raha 

 Dekh-bhal aur parwarish 


Qabeela jar ham ke log Makke kee rah se tijarat karne sham mulk jaya karte ittifaq se is qabeele ke qafile ne Makke ke maidan mein qiyam kiya aur wahin raat guzarni chahi  unhone dekha ki parinde ud rahe hai samjha ki yaha kahin pani ka chashma zaroori hai ek shakhs ne aakar dekha ki ek saaf pani ka chashma maujood hai aur ek nek khatoon aur uska bachcha uske kinare thahare  hue hai wah is jangal mein unhe dekhkar bahut hairan hua aur poocha ki tum kaun ho, jinn ho ya insan ? 

Biwi hazara ne farmaya ,  "khuda ne apne fazl se mujhe yah bachcha inayat kiya hai aur uske hee tufail se yah chashma jari hua hai "

Usne jakar qafile walon ko khushkhabri sunayi qafile ka sardar Biwi sahiba kee khidmat mein aaya aur kaha ki agar hukm ho tou hamari qaum yahan aakar aabad ho jae isi tarah aap ki tanhai aur wahshat bhi kam hogi aur aap khush hongi 

Hazrat hajara ne farmaya , 'agar meri sarparasti qabool karo to jao aur apne baal-bache ko le aao abhi thodi hee din guzare the ki uski qaum apne baal - bachchon aur janwaron ke sath hazir huie aur usi chashme ke paas aabad ho gai usne waha makan banaye aur hazrat ismaeel Alaihis'salam kee parwarish ka gaib se intizam hua isi qabeele mein hazrat ismaeel Alaihis'salam kee parwarish huie hazrat jibraeel alaihis salam ne Hazrat ibraheem Alaihis'salam ko sare halat kee khabar kar dee hazrat ibraheem Alaihis'salam saal mein ek baar sawar hokar yahan aate the aur apne baal-bachchon se milkar wapas chale jate they jab hazrat ismaeel Alaihis'salam kee umr 15 saal kee huie tou Biwi hazra ka intiqal ho gaya aur unhe hajre-aswad ke paas dafn kiya gaya hazrat ismaeel maa'n kee judaee se gamgeen hue aur unka dil waha'n rahne se u chat ho gaya qaum ke sardar aur zimmedar log hazrat ismaeel Alaihis'salam kee khidmat mein hazir hue aur unhe badi minat aur samajat se thaharaya aur oonche khandan kee ek ladki se aap ka nikah kara diya 

Hazrat iismaeel Alaihis'salam ko shikar ka shauq tha we aksar jangal aur pahadi mein shikar ke liye jaya kartey the ittifaq se ek roz hazrat ibraheem Alaihis'salam Makka tashreef lae jab unhe maloom hua ki Biwi hajra ka inteqal ho gaya hai tou unhe bada gam hua ghar par pahunche hazrat ismaeel Alaihis'salam kee Biwi se haal poocha aur daryaft kiya ismaeel Alaihis'salam kaha'n hai?
Hazrat jibraeel alaihis salam kee Biwi hazrat ibraheem Alaihis'salam ko pahchan na saki unhone hazrat ibraheem Alaihis'salam kee koie tazeem aur mehamandari na kee hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya ki ismaeel shikar se aae tou mera salam kahna aur mera yah paigam pahuncha dena ki tere darwaze kee chahukhat theek nahi hai aur hame aisi chaukhat pasand nahi hai hazrat ibraheem Alaihis'salam yah kah kar shaam kee taraf rawana hue

Hazrat ismaeel Alaihis'salam sham ko ghar aae Biwi ne unse sab haal bayan kiya aur hazrat ibraheem Alaihis'salam ka paigam un tak pahunchaya hazrat ismaeel Alaihis'salam ne farmaya ,  ghar kee chaukhat too hee hai , magar be-adab aur be-saleeqa hai aur mere buzurg baap ko pasand nahin unka ishara yah hai main Tujhe talaq de doon

Hazrat ismaeel Alaihis'salam ne Biwi se alag hokar ek doosri nek khatoon se nikah kiya

Hazrat ibraheem Alaihis'salam jab doosri baar Makka tashreef lae , is nek khatoon ne hazrat kee badi tazeem kee aur kaha-
Mre shuhar shikar ke liye bahar gaya hai laundi aap ki khidmat mein hazir hai

Jo roti taiyar thi, ibraheem Alaihis'salam kee khidmat mein pesh kee aur jahan tak ban saka aap ki khatir kee hazrat ibraheem Alaihis'salam ne apni sawarI hee par khaya aur is Biwi kee khidmat aur khoobi dekhkar ise nek fasl samjha chalte waqt farmaya ,

"Ismaeel se kahna ki tere ghar ka aastana bahut munasib hai aur hamari tabiyat bahut Khush huie"

Jab hazrat ismaeel Alaihis'salam shikargah se ghar laute aur apni Biwi se mile tou Biwi ne sare halat sunae hazrat ismaeel Alaihis'salam ne farmaya -

"Ae khushqismat ! wah mera baap tha aur uska ishara yah hai ki is aastane ko qayam rakhnkhu aur tujhko apne se juda na karoo, aur jahan tak ho sake teri nazabardari aur gamgusari karoon..

Ref ( Qanssul Anbiya , pg 59,60,61,62,63,64 )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.