Deeni maloomat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Deeni maloomat

DEENI MALOOMAT 

AAO DEEN PAR CHALE 

Deendar Log Ab Bhi Chain Wa Sukoon Se


Agarche deendari apnane ka maqsad duniyavi mafad yaha'n kee rahat chain w aaram nahi hona chahie balki duniya ko tou momin k lie qaidkhana aur gair muslim k liye jannat bataya gaya hai lekin is sabke bawajood main dekh raha hun ki jo log deendar hain wah ab bhi Sukoon w aaram mein basharte ki sahi ma'ana mein deendar ho hazaron kharchon uljhanon jhanjhaton se bachte hain kam aamdani k bawajood Sukoon kee zindagi jeete hain ha'n jo log deendar hokar kahil nikamme aur aaram talab ho jaye tou yah unki kami hai mazhab unse yah nahi kahta ki tum kaam dhandhe na karo muft kee roti khane k aadi ban Jaao khulasa yah hai ki aaj bhi deendar majhabi log jitney Sukoon se zindagi guzar rahe hain wah duniyadaron haramkaron ko mayyasar nahi hai 

Ek shareef bhale deendar aadmi ko diqqate aur pareshaniyan tou aati hain lekin wah unse kam hoti hain ki jinme duniyadar mubtala hain ha'n kuch deendar logon ko yah mahsoos hota hai hum bahut dukhi aur pareshan hain lekin Unhe maloom nahi ki duniyadar log unse kahi zyada pareshan hain aur dili Sukoon tou deen hee se milta hai aur jab dil ko Sukoon nahi tou daulatmandi aur maldari se kya fayada?

Sukoon hee k liye hee tou sab kuch kiya jata hai aur wah deendar aadmi jisse uska rab razi hai us par duniya mein koie museebat bhi aati bhi hai tou uska yah sochkar Sukoon milta hai ki yah duniya kee pareshani ek na ek din khatm hogi kabhi nahi tou kam az kam maut tou isse chutkara dila hee Degi aur maut k baad momin k lie Sukoon hee Sukoon hai tou yah aakhirat mein Sukoon kee ummeed uski tasalli ka behtareen saman ban jati hai aur uske gamon ka sahara zakhmon ka Marham ho jati hai 

Museebaton par sabr karne aur unhein bardasht karne ka yah sabse umda tareeka hai ki yahan nahi tou inshaAllah waha'n tou Sukoon milega aur jisne aakhirat k liye kuch kiya hee nahin ya aakhirat par usko bharosa hee nahin wah agar duniyan mein bhi dukhi raha tou usse bada koie badnaseeb nahin aur Allah jo chahta hai karta hai kuch log deendar tou ho jate hain lekin wah kaam dhandhon mein mehanati aur jafakash nahi hote tou aise log bhi gamgeen dukhi aur pareshan rahte hain aadmi deendar bhi ho aur kaam dhandhe mein mehnati aur jafakash aur fujool kharchi se bache tou khuda e ta'ala ne chaha tou wah yaqeenan Sukoon kee jindagi guzarega...

Ref ( Aao deen par chale pg 63,64 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami 👆maloomat ke liye hamare App jaroor Download karen aur apne ilm w amal me izafa karen 





No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.