Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Hazrat Yaqoob aur Hazrat Yoosuf Alaihis salam


HAZRAT YAQOOB AUR HAZRAT YOOSUF ALAIHIS SALAM 

Part:-02

Hazrat Yaqoob Alaihis'salam ne farmaya -

"Is bete se mera dili lagav hai iski judaee mujhe pasand nahin kahin aisa na ho ki tum gafil ho jao aur bhediya use kha jaae" beton ne kaha, 'yah kaise mumkin hai ki hum sabki maujoodgi mein Yoosuf ko koie nuqsaan ya takleef pahunche' baap Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko bhejne par taiyaar na hue bhaee naummeed ho gae shaitaan ne unke dil mein dala ki pahle Yoosuf ko razi kar lo tab baap k paas jao bahar ka mausam tha, bhaiyon ne Yoosuf Alaihis'salam ko sath Le jane par razi kar liya aur Yoosuf Alaihis'salam ko lekar baap k paas pahunche aur ijazat chahi  jab Hazrat Yaqoob Alaihis'salam ne dekha ki Yoosuf khud jana chahta hain tou majboor hokar jane kee ijazat de dee, aur Yahooda se farmaya 

Main Yoosuf Alaihis'salam ko tumhein shaunpta hoon, poori nigrani rakhna aur use kisi tarah kee taqleef na pahunchana  Hazrat Yaqoob Alaihis'salam ne Yoosuf Alaihis'salam ko chat se lagaya aur farmaya -

"Ae pyare bete, agar judaee ka zamana lamba ho jae tou apne baap ko mat bhoolna , isliye ki wah jab tak tujhe na dekhega hargiz na hansega" 


Aazmaish Ka Daur

Nawadurool-Qasas mein likha hai ki jab Hazrat Yaqoob Alaihis'salam se chand qadam door hue tou aap par gashi taari ho gayi Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko fir seene se lagaya aur aah bhar kar farmaya ,  'mujhe judaee kee boo aa rahi hai'  hazrat Yoosuf Alaihis'salam k bhaee Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko apne sath lekar chale jab tak wah Hazrat Yaqoob Alaihis'salam kee nigahon k samne the tab tak wah Hazrat Yoosuf Alaihis'salam k sath Muhabbat aur izzat se pesh aate rahe jab baap kee nigah se door ho gae tou Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ko satana shuru kiya kabhi tamachon se marte aur kabhi nihayat zillat se apne aage daudate Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ka gulab-sa-chehra garmi se paseena-paseena ho gaya aur pyas kee wajah se gala sookh gaya, badi aajizee aur minat se bhaiyon se pani Manga lekin unhone pani na diya , khana Manga tou bole bhi nahi'n ek ne kaha, sitare kaha'n hain jo teri khidmat mein hazir they?

Unse madad kyon nahin mangte' Hazrat Yaqoob Alaihis'salam ne ek aaftabe mein pani bhar kar Hazrat Yoosuf Alaihis'salam k lie diya tha shamoon ne pani zameen par bahar diya aur kaha ki pyas se kya rota hai ab tou hum tujh se badla lenge aur tujhe zinda nahin chodenge Hazrat Yoosuf Alaihis'salam ne qatl kee baat suni tou dar gae aur khuda se dua kee:

"Ae fariyadee kee fariyad sunne wale! meri majboori aur lachari par raham kar aur mujhe is museebat se nikal ' fir roeel se kaha, "Ae mere bhaee, too aur bhaeeyon se badkar mujhse muhabbat karta tha aur mere sath meharbani se pesh ata tha mujhe ek chulloo pani peene ko de de taki meri pyas kee aag bujh sake" 

Ref ( Qanssul Anbiya )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.