Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu

SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 



POST :-11

Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ka Faisla 


Musalmaanon ka khaleefa Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ko jab mutadeen k elan ka pata chala tou aap Razi'allahu ta'ala anhu ne Sahaba-e-kiram Razi'allahu ta'ala anhu se mashwara talab farmaya us mauqa par baaz sahaba Razi'allahu ta'ala anhu ne mashwara diya ki chuki murtadeen abhi acchi tarah islam kee rooh se waqif nahi'n hue is lie zakat k mamle mein unke sath narmi ka sulook kiya jae na ki unse kuffar kee tarah jang kee jae 

Yah ray sunkar Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ne faislakun lahje mein kaha ki aisa karne se islam mein rakhna paega aur Deene islam k aqaid aur buniyadi Usool mut'assir honge aaj ye log islam k ek rookn k munkir hue hain, kal kisi aur rookne islam se inkar kar denge fir jab we Allah k hukm kee nafarmani karte hain tou musalman kaha'n rahe islie unse jag hamare lie farz hai

Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ne Sahaba-e-kiram Razi'allahu ta'ala anhu kee ray qabool karne se inkar karte hue badi jur'at aur pur azm lahje mein apna faisla sunaya ki, "Allah kee qasam! agar tum log mera sath na doge, tab bhi main ek janwar aur ek Dana k liye zakat k munkiron se ladoonga" aur unhein rookne islam kee adaegi par majboor kar doonga..

Murtadeen Kee Darkhwast 


Unhi dinon jab Hazrat Usaama Bin Zaid Razi'allahu ta'ala anhu lashkare islam k sath roomi Isaiyon se jihad karne sham kee taraf gae hue they, murtadeen k wufood Madeena munawwara aae aur unhone darbare khilafat mein hazir hokar Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmat mein yah darkhwast kee ki hum Musalman hain, Aazane dete hain, namaze padhte hain aur roze bhi rakhte hain lekin zakat Ada nahin karna chahtey hum par zakat maaf kee jaae.

Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne tahummal se unki darkhwast suni aur nihayat jur'at aur safgoee se unki darkhwast radd karte hue, farmaya ki zakat dene ka hukm Allah ta'ala ne diya hai aur tum mahaz fakh aur takabbur kee wajah se zakat kee adaegi se inkar karte ho? 
Fir tum musalman kaha'n rahe? 
Tumpar zakat hargiz maaf nahin hogi aur tumhen zakat Ada Karna hee padegi 

Murtadeen aap Razi'allahu ta'ala anhu k jawab se mayoos hokar wapas chale gae unhone samjh liya ki unse zabardasti zakat wusool kee jaegi aur is maqsad k lie upar lashkar kashi karne se bhi dareg  ( Sankoch ) nahin kiya jayega chunanche we Madeena par Hamla karne kee taiyari karne lage idhar Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu bhi unka sar kuchslne k liye taiyar ho gae halanki baaz Sahaba Razi'allahu ta'ala anhu ne yah khayaal zahir kiya ki jo qaum tauheed aur risalat ka Iqrar karti hai, usse jang kaise kee ja sakti hai?

Lekin Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne nihayat Azm aur mazboot kuwwat irade se farmaya , 

"Allah kee qasam ! Agar ek bakri ka baccha bhi, jo Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko diya jata tha, koie dene se inkar karega tou main uske khilaf jihad karoonga" aap Razi'allahu ta'ala anhu ne har soobe k aamil  ( Gawarnar ) ko saaf-saaf hidayat kar dee ki jis tarah bhi ho murtadeen se zakat wusool kee jae isi tarah aapne sarkash baagi qabail k naam bhi khutoot bheje jinmein unhe zakat kee adaegi ka hukm farmaya . .

Ref ( IsLam k Siphasaalar Sireez , 2 ) 


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.