Duniya aur muzammat e duniya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Duniya aur muzammat e duniya

                                        
    DUNYA AUR MUZAMMAT E DUNYA 


      نحندہ و نصلی علی رسولہ الکریم °اما بعد  °  ! فاعوذ باللہ من الشیطن الرجیم °
                                           بسم الله الرحمن الرحیم 

        وماالحیوة الدنیا الا متاع الغرور           


TARJAMA :- AUR DUNYA KA JINA TO NAHI MAGAR DHOKE KA MAAL

Ref : parah , 27 , ruku , 19 , Kanzul imaan

Aye iman walo! duniya ek musafir khana hai aur ek fani ghar hai aur jo kuch is me hai sab kuch ek din fana hone wala hai. hazraut maulana room rahmatullah tala alih farmate hai ek nadan shakhs ne  ek diwar par suraj ki raushni dekhi to us nadan aadmi ne samjha ki ya diwar hi raushan hai aur diwar se dil laga liya aur uska shaidah ho gaya. nadan ne ye na samjha ke diwar hergiz aisi nahi ye to suraj ki raushni hai maulana room rahmtullah tala alaih farmate hia . yani phir jab suraj dhala to raushani chali gai yani dhoop khatam ho gai to diwar waisi ki waisi rah gai maulana rahmatullah alaih ka ye maksad hai ke jis tarah diwar par raushni dekh kar nadan log jante hai ke diwar me kuch hai lekin phir thori der ke bad suraj dhalte hi diwar ki asal hakidat ka pata chal jata hai ke diwar be noor hai aur ham dhokhe me hai hazraat! isi tarah aadmi aaz duniya ki chamak damak ko dhdh kar  duniya ka is qadar garwida aur ashique ho gaya hai ke Allah tala se gafil aur zikar e khuda se dur hota huwa najar aata  hai lekin qayamat ke din duniya ki haquqat ka raj khul jayega to insan apni nadani par pachhtaye ga maulana room rahmatullah tala alaih famate hai magar yahi duniya gis me rah kar har saans aur har lamha zikar e elahi me gujara jaye aur musfiq wa meharban nabi ki ata'at aur mohabbat me basr kiya jaye to kasam dhuda ki duniya me aana aur duniya me rahna. khana.pina.sona.jagna.sare mamlat jannat ke saman ban jae  aur yahi dunita hamare liya jannat ki kheti sabit ho jae. magar aaj kal musalmano ka hal ye hai ke masjid me bhi dil nahi lagate aur diniya ke dusri jaghon ke mamlat to kis qadr kharab honge. 

Hajrat ! duniya kaya hai aur duniya ki haqiat wa haisiyat kaya hai aur duniya ko dil dene wale logon ka anjam kis qader kharab huwa hai  - apne qarim wa rahim rasool sallallahu ta'ala alaihe wa sallam  ki jaban faiz tarjaman se mulahiza farmaye 

                                DUNIYA MOMIN KE LIYE QAID KHANA HAI

Allah ke mahabub mustafa  kareem sallallahu ta'ala alaihi wa sallam ne farmaya : duniya momin ke liye qaid khana aur kafir ke liye jannat hai 

Ref - (Sahih muslim , jild,2,page,406, ibne majah,page,303, mishkat,page,493)

DUNIYA KI HAQIQAT MURDA BAKRI AUR MACHHAR KE PAR KE BRABER BHI NAHI


Hamare huzoor , sarapa noor , mustafa jane rahamat sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ka ek murda bakri ke pas se guzar huwa to aapne farmaya : kaya ye bakri apne malik ko pasand hai ? sahaba ye ekram razi Allah anho ajmaeen ne arz kiya ke is ki badbu hi ki wajha se is ke malik ne to yahan phenk diya hai to Aaqa karim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya khuda ki qasam ! duniya Allah ta'ala ki bargha is murda bakri se bhi ziyadah be waqar hai , agar Allah ta'ala ke yahan duniya ka maqam machhar ke par ke baraber bhi hota to koi kafir is duniya se ek  ghoot bhi pani na pi sakta 

Ref (ibne maja ,page, 302,al mustadrak lil hakim , jild, 4,page,306 )

DUNIYA KI MOHABBAT SE AAKHRAT KA NUQSAN

 hamare aaqa karim rasool Allah sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya jisne duniya se mohabbat ki usne aakhrat ko nuqsan pahuchhaya aur jisne aakhrat se mohabbat ki usne duniya ko nuqsan pahuchhaya tum fani duniya par baki rahne wali chizion ko tarjih do - 
rasool Allah sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya duniya ki mahabbat her burai ki 
jar hai
Ref (Masnad imam ahamad bin hambal, jild : 5 ,page 565 , miskat sarif , page : 441 , shobul 
iman , jild : 7, page: 328, at targib wat tarhib , jild : 3, page : 178 mishkat sharif , page : 44 )

HAZRAT E SIDDIQ E AKBAR KA RONA

Hazrat zaid bin arqam razi Allah anho farmate hai ke hum hazrat abu bakar siddiq e akbar razi Allah ta'ala anho ke pas the ke aapne pani mangwaya aur aap ki khidmat me pani aur shahad pesh  kiya gaya aur jab aap ne use muh ke qarib kiya to aap ro pare hatta ke aap ko dekh kar baqi sahabiye ekram razi Allah ta'ala anhum ajmaeen bhi rone lage phir baqi log to khamosh ho gaye lekin  aap musalsal rote rahe hatta ke sahabaye ekram razi Allha ta'ala anhum ne khayal kiyaki hum aap se kuch bhi puch nahi skenge - hajrat zaid bin arqam razi Allha ta'ala anhum farmate aye khalife rasool  sallallahu ta'ala alaihe wa sallam aap ke rone ki wazah kaya hai to khalifa rasool amirul momenin hazrat abu baqar suddiq akbar Allha ta'ala anho farnaya mai mahbbubb khuda ahamad mustafasallallahu ta'ala alaihe wa sallam ke hamrah tha mai ne dekhe ke aap sallallahu ta'ala alaihe wa sallam kisi chiz ko apne aap se door kar rahe hai lekin mujhe aap ke lath koi chiz najar nahi aa rahi hai mai ne arz kiya ralool sallallahu ta'ala alaihe wa sallam aap apne aap se kis chiz ko door kar rahe hain - to Aaqa karim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya ye duniya hai jo mere pas aae thi aur maine us se kha mujh se door ho ja - wah phir aae aur kahne lagi ahar che aap mujhse door ho jayenge lekin aap ke bad aane wale mujhse alag nahi ho sakenge - 

(Ref (Al mustadraq lil hakim , jild : 4 , page : 309 , ahya ul uloom sharif , jild ; 3 , page : 455)   

Aye imaan walon ! ye dunya wah fareb ki chiz hai jis ko hamare piyare Nabi sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne apne se door kardiya aur bhaga diya magar kitne afsos ki bat hai ke hum is dunuya ko gale lagate hai aur is ke piche bhagte nazar aare hai -

Hazraat! aao samjhe aur malum kare ke akhir duniya kis chiz ka nam hai ke nabi e paksallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne is ko bhaga diya aur sahaba e ekram duniya se door rahre the aur momin diuniya se kiyu nafrat karta hai ? aur kafir duniya se kiyu dil lagata hai ? 

to azizo! duniya di hazizat ye hai ke har wo chiz jis me lag kar banda apne khaliq aur maliq ko bool jaye wo duiya hai - jai se mal wa daulat , zan wa zar aur aulad , khel tamashe fakhar aur garoor jinme lag kar aur mashgul hokar banda apne khaliq aur maliq ko bhula deta hai - Allah ta-ala ka irshad hai = jan lo ki duniya ki zindagi to nahi magar khel , kood aur araees aur tumhara aapas me baraee marna aur mal aur aulad me ed dusre par zayadati chahna 

Ref - Para 27 , ruku 19 knzul iman

   Aaqa karim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne irshad farmaya us shakhs par bahut ta
 ajjub hai jo aakhrat ke ghar ki tasdiq karta hai lekin dhokhe wale ghar ke liye kosis karta hai - 

Ref - ad durrul mansoor , jild : 5 , page : 146 



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.