Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu


SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

POST :-01

Abdullah aur Abu bakr Razi'allahu ta'ala anhu 

Hazrat Abu bakr siddique Razi'allahu ta'ala anhu ke name se har musalman waqif aur gahari aqeedat rakhta hai kiyon ki aap Razi'allahu ta'ala anhu na sirf Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihe wasallam ke azeem sahabi aur maddagar w musddiq  ( tasdeeq karne wale ) the balki hazoore Akram "Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam" ke baad musalmanon ke sabse pahle khaleefa bhi the aur jab aap Razi'allahu ta'ala anhu ne huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke meraj-e-mubarak kee tasdeeq kee tou huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam aap Razi'allahu ta'ala anhu kee sacchaee se khush hokar aap Razi'allahu ta'ala anhu ko "Siddique" laqab ata farmaya 

Aap Razi'allahu ta'ala anhu ka islam lane se pahle name abdul-ka'aba aur aapke walid ka name usman tha jinkee kunniyat Abu qahaf thi jab aap musalman hue tou Huzoor-e-akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne aapka name Abdullah rakha Abu bakar aapki kunniyat thi aapka laqab ateeq bhi tha yah laqab kiyon mashoor hua? is bare mein itihaskar kee mukhtalif ray hai:

(1) kuch kahte hain ki aap Razi'allahu ta'ala anhu nihayat khoobsoorat aur wajeeh (khush roo ) naujawan they, isliye aapko ateeq kaha jata tha 

(2) kuch ne likha hai ki aap Razi'allahu ta'ala anhu ka hasab w nasab nuqs w buraee se paak tha isliye aap ateeq ke laqab se mashoor hue 

(3) kuch ne ateeq ke laqab kee wajah yah bayan kee hai ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne aap Razi'allahu ta'ala anhu ko dozakh kee aag se aazad hone kee basharat dee thi, isliye aapko ateeq ka laqab mila aap Razi'allahu ta'ala anhu ka ta'alluq Qabeela kuraish se tha aur Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam bhi kuraish khandan se ta'alluq rakhte the aap Makka mein paida hue aur madeena munawwara me wafat paee aapki parwarish Makka mein huie Makka mein aap ka pesha ya zariya-e-ma'aash tijarat tha aur aap Makka ke mu'azzaz, ba'asar aur ameer logon mein shumaar hote the khaleefa banne ke baad aap Razi'allahu ta'ala anhu ne islam ke frog aur taraqqi ke liye kaee mulkon ke khilaf jang kee aur har mulk mein Islami lashkar ko fatah hasil huie aapke daur mein hone wali jangon aur futoohat ka zikr karne se pahle munasib hai ki aapki zindagi ke halat mukhtasar taur par bayan kie jaen taki aap ka martaba aur fazeelat samajne me aasani rahe 

Imarat aur fazeelat 

Islam se pahle kuraish Qabeela kee hukoomat das 10 khandanon mein munqasim thi tamam khandan alag-alag kaam anjam detey the misal ke taur par Huzoor-e-akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ka khandan banoo hashim Ka'aba kee ziyarat ke lie ane wale zaireen ya hajiyon ko pani pilane aur pani ka intizam karne par mamoor tha banoo naufal khandan jaroorat mand hajiyon ko zade safar muhayya karta tha isi tarah banoo tameem ka khoonbaha, qisaas aur tawan kee qeemat ka faisla w ta'ayyun karna tha hazrat Abu bakar usi tameem khandan mein se the aap Razi'allahu ta'ala anhu apne khandan yani Qabeela banoo tameem ke sardar the aur aap jo faisla sadir karte,

Tamam ahle kuraish use man lete albatta koie doosra tameemi faisla karta tou use tasleem na karte kiyon ki aap Razi'allahu ta'ala anhu kee sacchaee mashahoor thi aur sab log aapko banoo tameem ka sardar mante they apne qabeele kee sardari ke Alawa unhe yah martaba bhi hasil tha ki aap Razi'allahu ta'ala anhu kuraish ke un das sardaron mein se ek the jinki ginti Makka ke hukmaranon mein hoti thi iske alawa aap kafi daulatmand bhi the aap Razi'allahu ta'ala anhu bade mukhlis, ba'akhlaq narm mizaj aur haq pasand the in sifat kee wajah se aapke kafi dost w ahbaab they.

Ref ( Shawahid-e-nubuwwat , page , 258 )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.