SEERAT E GHOUS E AZAM
SEERAT E GHOUS E AZAM
PART:-07
Apni Vilayat Ka Choti Umr Mein ilm Hona
Huzoor pur noor Saiyyadana Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu se kisi ne poocha "Mata Alimta Annaka Wleeyullahi Ta'ala" aap ko kab se maloom hai ki aap Allah ta'ala k wali hain tou aap ne irshad farmaya
Tarjuma:- Main 10, saal ka tha ki apne shahar k madarsa mein padhne k liye jaya karta tha tou main apne ird gird farishton ko chaltey dekhta tha aur jab madarsa mein pahuncta tou main unhein yah yah kahte hue sunta ki hat jao!
Allah ta'ala k wali ko baithne k liye jagah do
Ref ( Bahajatul-Asraar, Safah.21, Qalaidul-jawahir , Safah 9, Akhbarul-Akhiyaar farsi , Safah 22, Safeenatul-auliya Safah 63, Tohfa qadareeya )
Huzoor Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu farmate hai ki jab main baccha tha madarsa ko jaya karta tha tou rozana ek farishta insaani shakl mein mere pas aata aur mujhe madarsa le jata khud bhi mere pas baitha rahta main usko mutalqan na pahchanta tha ki yah fariste hai
Ek roz maine us se poocha"MAN TAKOONU" Aap kaun hain?
Tou usne jawab diya "ANA MALKUN MINAL-MALAIKATE ALAIHIMUSSALAMU ARSALANI ALLAHU TA'ALA AKOONU MA'AKA MA DUMTA FIL-MAKTABE"
Main farishton mein se ek farishta hoon Allah ta'ala ne mujhe isliye bheja hai ki main Madarsa mein aapke sath raha karoon .
Ref ( Qalaidul-jawahir Safa 135, 236 )
Shahanshahe Bagdad kuddisa Sirrahoo-Azeez ne farmaya ki ek roz mere qareeb se ek shakhs guzara jisko main bilkul na janta tha usne jab farishton ko yah kahtey suna ki kushada ho jao taki Allah ka Wali bait jae tou usne farishtonmein se ek se poocha "MA HAZASSABEEYU" yah ladka kis ka hai? farishte ne jawab diya "HAZA MIN BAITIL-ASHRAFE" Yah sadat k gharane ka ladka hai tou us ne kaha "SAYKOONU LEHAZA SHANUN AZEEMUN" Anqareeb yah bahut badi shaan wala hoga
Huzoor shaheedo jeelaan Razi'allahu ta'ala anhu farmate hai ki 40 saal k baad maine unko pahchana ki wah Abdale waqt mein se tha
Ref ( Bahajatul-Asraar Safa 21, Qalaidul-jawahir safa . 9, Matboo'aa misr )
Hazrat Ghous e Samdani kuddisa Sirrahoo Annoorani farmate hai ki main jab bachpan mein kabhi bacchon k sath Khelne ka irada karta tou main kisi kahne wale kee aawaz ko sunta jo mujhe kahta ilaiya ya mubaraku Ae khush bakht aur khush naseeb tum mere pas aa jao tou main fauran walida Mohtarma kee God mein chala jata
Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 21, Qalaidul-jawahir safa 9 )
Aap irshad farmate hai ki jab ibtidae jawani mein mujh par neend Galib aati tou mere kanon mein Yah aawaz aati "Ae Abdul-Qadir ! hum ne tujh ko sone k liye paida nahi'n kiya..
Ref ( Bahajatul-Asraar safa , 21, Safeenatul-auliya Safah . 93 )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
No comments