DEENI MALOOMAT
DEENI MALOOMAT
SAWAL NO:-01 Quran e pak ka sabse pahle Urdu zubaan mein Tarjuma kisne kya?
SAWAL NO:-02 Kya Farishte bhi Quran pak kee tilawat karte hain?
SAWAL NO:-03 Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne kafiron aur Mushrikon ko quran pak se kitni baar Challenge kya?
SAWAL NO:-04 Kya quran pak mein nasikh aur mansookh bhi hain? ( Yani ek Aayat ya Surah ka hukm doosri Aayat ya Soorat k hukm ko khatm karne wala )
SAWAL NO:-05 Zameen mein Zalzala kaise hota hai?
AL JAWAB
JAWAB NO 01 Shah Shafeeudddeen ne 1774 e mein kya
Ref ( Aainae Tareekh
JAWAB NO 02 Aam farishton ko yah fazeelat nahin dee gaee, Albatta farishton ko Quran pak Sunne ka bahut shauk hai jab koie Musalman Quran shareef padhta hai tou farishte uske Munh par Munh rakhkar Quran shareef k padhne kee lazzat se fayada uthate hain.
Ref( Fatawa Hadeesiya, page, 45 , Ahkame Sharee'at, 1 , Page 119 )
JAWAB NO 03 Char 4 baar
Challenge kya..
( Savi, 1 , Page 161 )
JAWAB NO 04 Haa'n dono'n hain kuch Aayate Nasikh aur kuch Mansookh hain jaise Sure kafiron aur wah tamaam Aayate jinme jang karne kee pahal se Roka gaya hai , sabki sab "FAQTULUL MUSHRIKEENA HAISO WAJATTUMAHUM" se Mansookh hain.
Ref ( Tafseer Ahmadi , page 13 )
JAWAB NO 05 Jab Zameen mein kasrat se Gunaah hone Lagte hain tou Rab Ta'ala Ghafil Bandon ko Aagah karne k liye Farishton ko Zameen mein Harkat dene ka hukm deta hai tou farishte tez aur Taqatwar hawa zameen mein dakhil kar dete hain jiski harkat se zameen hilne lagti hai usi ko Zalzala kahte hai.
( Fatawa Azeeziya , 2 , page 128 )
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments