Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein


Ye Hai Majlis E Milad Shareef 

Jab hamare piyare Aaqa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki paida'ish , Milad shareef ka waqt qareeb Aaya to tamam Aalam me mahfil e Milad qayem thi yàni har Aalam wale hamare piyare Aaqa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki paida'ish shareef Milad shareef ka zikr kar rahe the - Arsh par mahfil e Milad , Farah par mahfil e Milad , farishton me mahfil e Milad , ho Rahi thi aur sab ke sab khushyon manate Nazar Aarahe he , 

Ref ( miladun nabwiyah , page :19 )
To
Jibraeel WA meekail khushyon manate Nazar Aarahe hain , sar jhukae dare daulat par khade  hain , us dulha ka intezar ho raha hai JIS ke sadqe me ye sari baraat banai hai hai , 7Aasman me Arsh WA farsh par dhoom Machi hai - 

Hazraat ! Mejazi qudrat WA muhabbat Wala apne mahboob ki Aamad par bahut kuchh khushi ke Saman mohayyah Karta Nazar Aata hai to mohibbe haqiqi , qadir e motlaq Allah ta'ala Jo 6 hazar saal pahle balke lakhon baras bahle muradul muradeen mahboob ki wiladat par kiya kuchh khushi ke Saman mohayyah Na farmaye ga - shaitano ko us waqt Jalan hui thi aur ab bhi Jo shaitan hain zikre milad shareef ke waqt jalte Nazar Aate hain aur hamesh jalte Rahen ge 

Ref ( miladun nabwiyah , page :19 )

Hazraat ! Gulam to is qadar khush hain jis ki koi inteha nahi - na eid e ramzan me is qadar khush huwe na eid e qurban me - jis qadar eid Milad un nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam me Khush hain is liye ke un ghulamo ke hath aisa rahmat ka Daman Aaya hai ke sab gir Rahe the us ne bacha liya , aisa sambhalne Wala Mila ki us ka koi misal nahi - 

Hazraat ! Ek Aadmi ek ko bacha Sakta hai , 2 ko bacha Sakta hai aur agar koi ziyadah taqatwar hai to ziyadah se ziyadah 10 , 20 , ko bacha Sakta hai - yahan kadodon , arbon phisalne wale , girne wale aur bachane wale wahi ek mahboob e khuda Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam irshad farmate hain : Mai tumhara banad Kamar pakde khich raha Hun are meri taraf Aao 

Ref ( miladun nabwiyah , page :20 )

 Huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam Nematullah hain 


Quran Kareem me Hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka Naam Nematullah rakha hai , hawala mulahizah farmaye - 

الم تر الی الذین بدلوا نعمة الله کفرا ( نعمة الله محمد صلی الله تعالیٰ علیہ وسلم 

Tafseer me Hazrat sayyedena Abdullah bin Abbas razi Allah ta'ala anho farmate hain Nematullah Muhammad sallallahu ta'ala alaihi wasallam hain 

Ref ( Bukhari , jild , 2 , page:566 )

Lehazah shaah e taibah Raheem WA Kareem Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef ka tazkera karna Goya hukme ilahi hai 

MAHFIL  E MILAD SHAREEF ME FARISHTE BHI BULATE HAIN 


Hazraat ! Ek ham aur Tum hi nahi balke mahfil e Milad shareef ke liye farishte bhi da'awat dete hain - farishton ne Jahan bhi mahfil e Milad shareef hote dekhi , ek dusre ko BULATE hain ke Aao yahan ham sab ko matloob hai phir farishte us jagha se Aasman tak chha Kate hain aur zikre mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam me mashgool rahte hain 

Ref ( miladun nabwiyah , page :16 )

FARISHTE RAHMAT KI SHIRNI BANT'TE HAIN 


Aye Aashiqon ! Tum dunya ki mithaee bant'te ho aur farishte Milad e mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki khushi me rahmat ki shirni taqseem karte hain , wah bhi har Aam har Kas WA naakas ko bhi hissa dete hain 

Ref ( miladun nabwiyah , page :17 )

HAZRAT AADAM ALAIHIS SALAM NE MAJLIS E MILAD SHAREEF QAYEM KI 


Hazraat ! Majlis e Milad shareef Aaj se nahi balke hazrat Aadam Alaihis'salam be khud qaye ki aur barabar qaye karte Rahe aur unki aulad me bhi barabar mahfil e Milad shareef Hoti Rahi aur koi din aisa na tha ke Hazrat Aadam Alaihis'salam zikre huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam na karte hon - awwal roz se hi Allah ta'ala ki taleem thi Hazrat Aadam Alaihis'salam ke liye ke aye Aadam Alaihis'salam ! Mere zikr ke sath mere mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka zikr kiya karo 

Ref ( talkhees miladun nabwiyah , page :17 )

Aye Imaam walon ! Roze raushan ki tarah zahir aur sabit hogay ke mahfil e Milad shareef wahi log qayem karte hain aur zikre mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam sunte aur sunate hain Jo bahut hi Khush naseeb hote hain - jaisa ke upar bayan hua ke farishte bhi mahfil e Milad me da'awat dete hain aur rahmat ki shirni taqseem karte hain aur Hazrat Aadam Alaihis'salam be bhi Majlis e Milad shareef qayem ki aur apni nek aulad ko mahfil e Milad shareef qayem Karne ka hukum diya - 

Hazraat ! Zikre milad shareef ki barkat se Allah wa Rasool ki muhabbat badhti hai AUR qalb ko sokun hasil hota hai - jis jagha par Milad ho us jagha par rahmat ki barsat Hoti hai - Milad ki barkat se dukhyon ke dukh door hote hain - bimaron ko shifa muflison ko rozi milti hai - Be'auladon ko aulad , Bemuradon ko Murad hasil Hoti hai aur Milad shareef ki sab se Badi barkat ye hai ke mahboob e khuda sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka didar naseeb hota hai -

WAHABIYON KE NAZDIK MAHFIL E MILAD SHAREEF HAR HAAL ME NA'JAIZ WA HARAAM HAI


Wahabiyon , deobandiyon , aur tabligyon ke peer wa murshid maulwi rasheed ahamad gangohi likhte hain ke

(1) Majlis e Milad har haal me na'jaiz WA haraam hai

Ref ( fatawa rashidyah , jild , 2 , page :83

Mash'hur devbandi maulwi khaleel Ahmad ambethwi likhte hain ke

(2) Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad kanahya ke Janam ki tarah hai -

Ref ( barahin e qati'ah , page :148 , matbu'ah devband

Ahle hadees kahlane walon ke mohaddis miyan nazeer Husain dehlawi ke shagird maulwi abu'yahya Muhammad shaah jahaan puri likhte hain ke

(3) Majlis e Milad shareef , qayam wagairah bid'at wa shirk hai

Ref ( AL irshad ila sabilir reshaad , page :48

Ahle hadees kahlane walon ke Hafiz Muhammad juna gadhi likhte hain ke

(4) Milad e muhammadi ke waqiyat Jo bayan kiye gaye hain sarasar jhuthe hain aur kisi dajjal ke gadhe huye hain

Ref ( akhbar e Muhammadi , dehli , page : 3 , 15 January , 1940

Hazraat ! Wahabiyon ke peer wa murshid maulwi rasheed ahamad gangohi ka fatwa Aap hazraat ko maloom ho gaya hai ke mahboob e khuda sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef har haal me na'jaiz wa Haram hai magar yahi wahabiyon ke peer wa murshid maulwi rasheed ahamad gangohi ka fatwa hai ke bachchon ka Janam din , saalgirah manana jaiz wa durust hai - mulahizah kijye

(5) bachchon ki saal'girah mana'na aur us ki khushi me Khana khilana jaiz wa durust hai

Ref ( fatawa rashidyah , jild , 1 , page :74

Hazraat ! Wahabiyon , devbandiyon ke Imaam ke sath sath aqal bhi barbad ho chuki hai ke bachchon ka Janam din mana'na jaiz aur mahboob e khuda ki paida'ish WA Milad mana'na , na'jaiz wa Haram -

KHUDA JAB DIN LETA HAI TO AQLEN CHHIN LETA HAI


Aye Imaam walon ! Munafiqon gustakhon be Milad e paak ke bare me kis qadar be'adbi ka mozahirah kiya hai ke is qadar be'bak aur nidar to yahood WA nasaara aur mushrekeen BHI NAHI hai - lehazah in be'adbon ko pahchanye aur is se door rahye aur apne imaan ki hifazat kijye aur yaqeen rakhte ke hamare piyare Aaqa mushfique WA meharban nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef ka zikr karna , na'jaiz wa Haram , bid'at wa shirk nahi balke Quran WA sunnat aur sahabae ikraam wa. Buzrugan e din ke aqwaal WA ahwaal se zahir wa sabit hai ke zikre milad shareef kaar e khair aur Mubarak WA mahboob Amal hai -

MILAD SHAREEF KA BAYAN SUNNAT E MUSTAFA HAI


Hazrat Abbas razi Allah ta'ala anho farmate hain ke hamare piyare Aaqa Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko Khabar Mili ke Aap ke khandan ko kisi ne bura Bhala kaha hai

Hadees shareef (1)  To nabi e Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam mimbar par tashreef laye aur farmaya mai Kon Hun ? To sahaba e ikraam ne arz kiya ke Aap Allah ta'ala ke Rasool hain - Huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya mai Abdullah ibne Abdul muttalib ka beta Hun Allah ta'ala ne makhlooq paidah ki unme sab see behtar mujhe banaya phir makhlooq ke 2 giroh kiye , unme mujhe behtar banaya phir unke qabile kiye aur mujhe behtar qabila me banaya phir unke gharane banaye mujhe unme behtar banaya - To Mai un sab me apni zaat ke etebar aur gharane ke etebar se behtar Hun -

Ref ( Tirmizi shareef , Mishkat shareef , page :513 )

Hadees shareef (2) Hazrat Abu qatadah Razi Allah anho farmate hain ke Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam se peer ke din rozah rakhne ke bare me puchh gaya to Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya ke mai usi din paidah hua Hun aur usi roz mujh par Quran nazil hua

Ref ( Muslim shareef , Mishkat shareef , page :179 )

Hadees shareef (3)  Mai us waqt BHI nabi tha jab Aadam Alaihis'salam rooh aur jism ke darmiyan the aur Mai tumhe apne ibteda ki Khabar deta Hun , Mai duaye Ibrahim ka natijah Hun aur Mai basharat e eisa Hun aur Mai apni walidah ka khawab Hun Jo meri walidah ne meri wiladat me waqt dekha tha aur walidah majidah se meri wiladat ke waqt aisa Noor zahir hua tha jis ki raushni se mulke Shaam ke mohallat raushan ho gaye the -

Ref ( Tirmizi , jild , 5 , page :585 , Musnad Imaam Ahmad , jild , 4 , page :127 , dalayelul nabuwat , jild , 1 , page :83 , Mishkat shareef , page :505 )

Aye Imaam walon ! In aha'dees e kareema se sabit hua ke Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne apni Milad shareef ka zikr farmaya aur hadees shareef me sarkar sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne apni wiladat ke waqt runuma hone wale waqeyaat aur zahir hone wale Noor ka tazkera bhi farmaya - to saaf taur par pata Chala ke mahfil e Milad shareef ko kanhayyah ki Janam ki tarah kahne Wala kafir wa murtad hai aur Milad shareef ke noorani waqeyaat ko jhoota sabit karna aur dajjal ka gadha hua kahna Allah wa Rasool ko jhoota aur dajjal kahna hua aur isi tarah ki baat bad'bakht munafiq aur murtad jahannami hi kah Sakta hai -

A'IMMA WA MOHADDESIN KI NAZAR ME MILAD SHAREEF KI ASAL 


Mash'hur mofassir Hazrat Allama jalaluddin shiyuti rahmatullahi alaih likhte hain ke shaikhul Islam Allama Imaam ibne hajar asqalani rahmatullahi alaih Milad shareef ke bare me farmate hain ke zikre milad shareef ki asal Sahi Bukhari , Sahi Muslim se sabit hai ke Huzoor Aaqaye kayenaat Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam jab madinah tayyabah tashreef laye to Aap ne yahood ko Aashurah ke din rozah rakhte hue paya to Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne yahudiyon se puchha ke Tum rozah q rakhte ho ? To yahudiyon ne jawab diya ke is din Allah ta'ala ne firaun ko garq kiya aur Hazrat Musa alaihis Salam ko kamyabi di , ham Allah ki bargha me shukr Baja lane ke liye is ka rozah rakhte hain - to is hadees shareef se sabit hua ke kisi khas din me Allah ta'ala ki janib se ihsan WA ikraam ka ata hone se ya kisi mosibat ke tal Jane par Allah ta'ala ka shukr Baja lana chahiye aur har saal us din ki yaad tazah karna ziyadah munasib hai - Allah ta'ala ka shukr namaz wa sajdah , rozah , sadqah , aur telawat e Quran e Kareem aur dusri ibdaton ke zarye Baja lata ja Sakta hai -
وای نعمة اعظم من النعمة ببروز ھذا النبی صلی الله تعالیٰ علیہ وسلم  الذی ھو نبی الرحمة فی ذالک الیوم

Yani Huzoor rahmat e Aalam sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki weladat se badh kar Allah ta'ala ki nematon me se Kon si nemat hai ? Us din Khush ho kar zaroor sajdah Baja lana chahiye

Ref ( Hasnul maqsad Fi amalil mowaed , page :63 )

MASH'HUR MOHADDIS IMAAM NAUWI KE USTAAD IMAAM ABU SHAAMA KA QAUL


Ke hamare zamane ke achhe kamo me ek achha kaam ye hai ke Jo Milad un nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke din kiye jate hain yani sadqah WA khairaat WA bhalaee ke kaam karna aur khushi ka izhaar karna aur us me is baat ka saboot hai ke zikre milad shareef Karne wale ke dil me Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki muhabbat WA ta'azeem hai aur Allah ta'ala ka shukr bhi ada Karta hai ke الذی ارسلہ رحمة للعلمین yani Allah ta'ala ne rahmatallil Aalameen ko dekar ham par ihsan farmaya -

Ref ( sirat e halbi , page :100 , sirat nabwi , page :45 )

IMAAM ZAHBI AUR IMAAM IBNE KASEER KA QAUL


Imaam zahbi aur imaam ibne kaseer likhte hain ke nek wa saleh badshah sultan salahuddin ayyubi ke bahnoi Abu Saeed mozaffar har saal bade tuzko ihtesam se Milad shareef mon'aqqid karte the aur har saal mahfil e Milad shareef par 3 lakh dinar kharch karte the

Ref ( Albedayah wan nehayah , jild , 9 , page :18 )

Hazraat ! Jalilul qadr A'imma ikraam wa mohaddeseen e izaam ke aqwaal wa bayanaat se saaf zahir aur sabit hua ki zikre milad shareef kaar e khair aur Mubarak wa mahboob Amal hai -


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen










No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.