SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-11

Fatawa Mubaraka 

Huzoor pur Noor Saiyyadana Ghous e Pak Razi'allahu ta'ala anhu k sahabzada Saiyyadi Abdul-Wahab Alaihirrahma farmatey hain ki aapne 528 hijri ta 561 hijri taitees saal dars w tadrees aur fatawa nawesi k faraiz sar anjaam die.

Ref  ( Akhbarul-Akhiyaar safah. 15 , Qalaidul-jawahir Safah 18 )

Ulmae Iraq aur gard w nawah k ulma aur duniya k goshe-goshe se aapke paas fatwe aate aap begair mutala ,  tafkkur aur gaur wa khoz k zarab ba sawab detey haziq ulma aur bahut bade fula mein se kisi ko bhi aapke fatwe k khilaf kalam karne kee kabhi jur'at nahi huie. 

Ref ( Akhbarul-Akhiyaar farsi Safah, 17 )

Allama Sha'arani kuddisa Sirrahoo Annoorani farmate hain -

Ulmae Iraq k samne aapke fatawa pesh hote tou unko aapki ilmi qabileeyat par sakht ta'ajjub hota tha aur wah yah Pukar uthate they ki wah zaat paak hai jisne unko aisi ilmi ne'amat se nawaza hai 

Ref ( Tabaqatul-Kubra Arbee Jild 1, Safah 127, Matboo'aa misr ) 

Ek Ajeeb Mas'ala 


Bilade Azam mein se aapke paas ek sawal aaya ki ek shakhs ne teen talaqon kee qasam Isee taur par khaee hai ki wah Allah ta'ala kee aisi ibadat karega ki jis waqt wah ibadat mein mashgool hoga tou logon mein se koie shakhs bhi ibadat na karta hoga agar wah aisa na kar sake tou uski Biwi ko teen 3, Talaqe ho jayengi 

Is soorat main kaun see ibadat karni chahie yani is sawal se ulmae Iraq hairan aur shashadar rah gaye aur uska jawab na de sakane ka etraf karne lage aur us Mas'ala ko Huzur Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmate aqdas mein unhone pesh kiya 

Tou aap ne fauran uska jawab irshad farmaya ki wah shakhs Makka Mukarrama chala jae aur tawaf kee jagah sirf apne lie khali karae aur tanha saat 7. martaba tawaf karke apni qasam ko poora kare pas is shafaee jawab se ulmae Iraq ko nihayat hee ta'ajjub hua kyonki wah is sawal k jawab se Aajiz ho gaye they..

Ref ( Tabaqatul-kubra jild , 1 Safah 127, Akhbarul-Akhiyaar farsi , safah 17, Qalaidul-jawahir , Safah 38 , Tohafa Qadariya , Safah . 87 )

Dars W Tardees Mein Janfashani 

Aap badi mehanat aur Janfashani se talba ko padhate they Ahmad Binul-Mubarak Al-Furgani Bayan kartey Hain ki ek Ajami shakhs jiska naam Abi tha Nihayat hee Gabee aur kund zehan tha badi mehnat aur koshish se samjhane k bawajood wah mas'ala n samajh sakta tha aur wah aapka shagird bhi tha 

Ek roz jabki usko badi Janfashani se padha rahe they ibnussamahal Alaihirrahma aapki khidmat mein hazir hue aapke is qadr mehnat aur koshish se padhane par ibne samahal bahut hairan hue jab wah ladka sabaq padh kar chala gaya tou unhone aapse kaha ki aapka usko padhane mein is qadr mashqqat bardasht karne par main hairan hoon tou aapne jawab irshad farmaya uske sath meri mehnat aur Janfashani k din ek hafta se kam rah gaye hain ek hafta na guzarega ki yah bechara rahmate ilahee mein pahunch jaega ibne samahal Alaihirrahma farmatey hain ki hafta k aakhiri din us Abi Naami ladke ka intiqal ho gaya aur maine uske janaza mein shirkat kee...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safa . 8 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen










No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.