Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam


Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam 


Hadees No 01

"Aqba ibne Aamir se marwi hai ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki main apne Hauz ko is waqt dekh raha hoon, aur mujh ko tamam rooye Zameen k khazanon kee kunjiyan dee gaee hain"

Ref ( Saheeh Bukhari Jild, 2 Safah 179 , Saheeh Muslim Jild, 2 Safah 250 )

☆Is Hadees mein Huzoor ne hauze Kausar ko apnana Hauz farmaya goya aap iske malik hain aur sari rooye Zameen k khazanon kee kunjiyan khuda e ta'ala ne aap ko ata farmaee hain yani aap dono'n jaha'n mein malik w mukhtar hain..

Hadees No 02

Hazrat Ameer Moo'aawiya ne logon ko khitab kartey hue farmaya ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko maine yah farmatey hue suna hai ki Allah ta'ala jis se bhalaee ka irada farmata hai is ko deen mein samajh ata farmata hai aur beshak main bantane wala hoo'n aur Allah dene wala..

Ref ( Saheeh Bukhari , Jild , 1, Safah 16 )

☆Is Hadees ko padh kar khoob raushan ho gaya hoga ki jo kuch jis ko Allah ta'ala ata farmata hai wah sab Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam taqseem farmatey hain aur wah aap kee chaukhat se milta hai.

Jo log Huzoor kee shan ghatate hain, unhon ne is Hadees mein yah baat paida kee hai ki choonki yah Hadees ilm k bayan mein hai is se maloom hota hai ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam sirf ilm bantate hain aur kuch nahin tou aise logon se yah maloom kiya jaye ki kya wah yah kahne kee jur'at karenge ki khuda e ta'ala bhi Ma'azAllah sirf ilm ata farmane par kudrat rakhta hai aur kisi par nahin kyonki is hadees main Huzoor ko bantane wala aur Allah ko ata farmane wala kaha gaya hai tou agar Huzoor Ko Bantane mein sirf ilm par ikhtiyar hai tou Allah ko bhi Ma'azAllah sirf ilm dene wala kahna paega Ma'azAllah Rabbul-Aalameen Aalameen.

☆Hadees k mana yahi hain ki jo kuch jis kisi ko Allah ta'ala ata farmata hai is sab k taqseem farmane wale Huzoor hain aur aap aaye ilahi ka waseela hain.

Bukhari hee mein doosri jagah isi mafhoom kee ek Hadees is tarah marwi hai Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya "Main bantane wala hoo'n khazanchi hoon aur Allah ata farmane wala hai..

Ref ( Bukhari Jild 1 Safah 439 )



Hadees No 03 


Hazrat Abu Moosa Ash'ari Razi'allaho Anho se riwayat hai ki Abu Talib Maldar Kuraish k hamrah mulke sham kee taraf chale Nabi e Kareem Sallallahu ta'ala alaihi wasallam bhi aap k sath they jab Rahib k paas pahunche tou Abu Talib utare aur logon ne bhi apne kajawe khol diye Rahib unki taraf aaya aur halanki is se pahle wah log is raste se gujaratey they lekin wah inke paas nahin aata tha aur na in kee taraf mut'wajeh hota tha 

Rawi kahte hain ki log abhi kajawe khol hee rahe the ki in k darmiyan chalne laga yaha'n tak ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k kareeb aaya aur Huzoor ka hath pakad kar kahne laga ki yah sari Kayamat k sardar hain yah Rabbul-Aalameen k Rasool hain in ko khuda e ta'ala ne sari makhlook k liye rahmat banaya hai ruoosaye kuraish ne poocha tum ne yah baat kaise janib wah bola jab tum is ghati se samne aa rahe the tou main ne dekha ki har ped aur patthar in ko sajda kar raha tha..

Ref ( Tirmizi jild 2 , Safah 202, Mishkat  , Safah 540 )

Hadees No 04


Hazrat Ali Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki main Makke mein Huzoor Sallallahu alaihi Wasallam k hamrah tha tou hum atraf shahar kee taraf nikale tou maine dekha ki jo darakht aur pahad Huzoor k samne ata hai wah kahta "ASSALAMO ALAIKA YA RASOOLULLAH" Ae Allah k Rasool aap par salam ho..

Ref ( Tirmizi jild 2 , safah 203 )

☆Is Hadees se maloom hua ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam sari Kayamat k sardar w malik mukhtar hain yaha'n tak ki bejaan makhlook patthar aur ped wagairah aap ko mante pahchante aur salam karte hain kyonki sab par aap kee badshahat hai..


Hadees No 05


Hazrat Abu Huraira Razi'allaho Anho farmate hain ki maine Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee khidmat mein arz kiya ki main aap se bahut sari hadeese sunta hoon lekin bhool jata hoon aap ne farmaya apni chadar failao maine apni chadar bicha dee aap ne dono'n hathon se lap bana kar chadar mein kuch daal diya aur farmaya is ko lapet lo maine chadar ko lapet liya aur is k baad main kabhi koie baat nahin bhoola"

Ref ( Bukhari Jild , 1 Safah 22 )

☆Is Hadees ko dekhiye kaise roohani Ikhtiyarat hain aur kaisi khudada kudrat hai Huzoor khali chadar mein bazahir khali lap bana kar dalte hain aur kaisi be Misaal yaad-dash ata farmate hain aur Huzur kee ata w bakhshish ka nateeja hai ki janab Abu Huraira se jitni Ahadees Riwayat kee gaee hain wah aur kisi sahabi se nahin...


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen










No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.