SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-10

Aapke ilm ka imtihan lene k lie ek 100 Sao Fuqha ka aana


Hazrat Ghousul-Aalimeen Razi'allahu ta'ala anhu k ilm w irfan kee shohrat jab door daraz k mulkon aur shahro mein huie tou Bagdad Shareef ke Azeem fuqha mein se ek 100 Sao fuqha aapke ilm ka imtihan lene kee garaz se hazir hue aur un fuqha mein se har ek faqeeh bahut se pechida masail lekar hazir hua jab wah sab faqeeh baith gaye tou aapne apni gardan mubarak jhuka lee aur aap k Seena mubarak se noor kee ek Kiran zahir huie jo un sab fuqha k seenon par padi jis se unke dil mein jo jo sawalaat they wah sab salb ho gaye wah sakht pareshan aur muztarib hue sabne milkar zor se chikh mari aur apne kapde fad dale apni pagadiyan Fenk deen 

Tarjama : uske baad aap Kursi par java afroz hue aur unke sawalaat ( jo apne dilon mein lekar hazir hue they ) k jawabat irshad farmae jis par sab fuqha ne aapke ilm w Fazal ka etraf kiya 

Ref ( Jame Karamatul-Auliya Lil-Alamatinnabhani Jild 1, Safah 201, Qalaidul-jawahir , Safah. 23, Tabaqatul-kubraJild 1, Safah 128 Satar 14 ta 17, Nuzhatul-khatir Al-Fatir Safah.28,29, Tafreehul-khatir Safah.5q, Tohafa Qadariya, Safah 74 , 75 )

Ek Aayat Kee Tafseer 


Shaikh Muhaqqiq Abdul-haq Muhaddis Dehlvi Alaihirrahma aapke ilmi  kamalat k muta'alliq ek riwayat naql kartey Hain ki ek roz kisi qari ne aapki majlise Shareef mein quran majeed kee ek Aayat tilawat kee tou aapne is Aayat kee Tafseer mein pahle ek mani fir doosre uske baad teesre mani yaha'n tak ki hazireen k ilm k mutabiq aapne us Aayat k 11 Ma'aani bayan farmae baad azi deewar wajoohat bayan farmaee jinki tadad chalees 40 thi aur har wajah kee taeed mein dalaile qate'a bayan farmae har mani k sath Sanad bayan farmaee aapke ilmi dalail kee tafseel se sab hazireen Muta'ajjib hue.

Ref ( Akhbarul-Akhiyaar farsi safah 16,17, Qalaidul-jawahir Safah. 38 )

Muhaddis Ibne Jauzee Alaihirrahma :


Allama Hafiz Abul-Abbas Ahmed Bin Ahmad Al-Bad Neeji Alaihirrahma farmatey hain ki is Majlis mein shaikh Jamaluddeen Ibne Jaujee Alaihirrahma bhi hazir they aur aapki pahle 11 Wajoohat bayaan kardah k muta'alliq Muhaddis ibne Jauzee Alaihirrahma ne Iqrar Kiya ki unka mujhe Ilm tha lekin baad wali chaleeswajoohat k muta'alliq aapne lailmi ka izhar kiya aur hazrat Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k ilmi maqam mein bhi baladasti rakhne ka Iqrar Kiya aur aapke niyaz mand ho gaye..

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah. 38 )

Majmae Uloom Wa Funoon 


Qaziyul-kuzaat Abu Abdullah Muhammad Bin Asshaikh Al-Amad Ibraheem Abdul-Wahid Al-Muqaddasi Alaihirrahma se mankool hai ki unke Shaikh Asshaikh Moofikuddeen ne bayan farmaya ki jab Hazrat Ghoususqlain majmaul-baharain Razi'allahu ta'ala anhu 561 hijri mein Bagdad Shareef tashreef  le gaye tou unhone dekha ki aap ilm, amal, haal aur istifta kee riyasat ka markaz bane hue they jab talab aapki khidmate Aaliya mein padhne k liye hazir hote tou unko kisi doosre ustad kee taraf tawajjoh karne kee qat'an zaroorat na rahti kyonki aap Majmae uloom w Funoon they aap kasrat se talba ko padhate they..

Ref ( Qalaidul-jawahir )

Hafiz Imaduddeen Ibne Kaseer Alaihirrahma :

Ne apni tareekh mein farmaya hai aap ilme hadees fiqh wa'aj aur uloome haqaiq mein yade toola rakhte they..

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen










No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.