Jannat ka bayan
JANNAT KA BAYAN
PART:-02
Jannat kee sharab duniya kee sharab kee tarah nahi'n jis mein karwahat , badboo aur Nasha hota hai aur use peekar log behosh ho jatey hain aur aape se bahar hokar gali galauch kartey Hain Jannat kee sharab in baton se paak hai Jannat mein Jannatiyon ko har qism k mazedar khane mileage aur jo chahenge fauran unke samne maujood ho jayega agar jannati kisi chidya ka gosht khana chahe tou usi waqt bhuna hua gosht uske samne aa jayega agar koie pani peena chahe tou pani ka kooza ( pyala ) uski pyas k mutabiq us k pas aa jayega zaroorat se na ek bond kam hoga na ek bond zyada peene k baad wah aabkhora ( pani peene ka bartan ) khud us k pas se chala jayega jannat mein najasat , gandagi , pakhana, peshab , thook, renth kaan ka mail aur badan ka mail wagaira koie gandagi nahin hogi jannati logon ko peshab pakhana nahi hoga sirf ek khushboodar paseena nikalega Jannatiyon ka khaya hua sab khana hazam ho jayega aur nikale huye paseene aur Dakar kee khushboo Mushk kee hogi
Har Aadmi kee khurak Sao 100 Aadamiyon kee hogi aur har ek ko Sao 100 Biwiyon k rakhne kee taqat dee jayegi har waqt juban se tasbeeh w tabeer wagaira bina irade k bina mehnat k jaise saans chalti hai usi tarah Aadmi kee juban se Allah kee tasbeeh aur tabeer jari rahegi har Jannati k sirhane das 10 hazar khadim khade honge in khadimon k ek hath mein chandi ka pyala aur doosre hath mein sone ka pyala hoga aur har pale mein naee naee nematen hongi Jannati jitna khata jayega un cheezon kee lazzat badti jayegi har lukme aur niwale mein sattar 70 maze honge har ek maza Alag Alag hoga aur jannati sab ko ek sath mahsoos karenge na tou Jannatiyon k kapde maile honge aur na unki jawani dhalega Jannat mein jo pahla giroh jayega unke chehre chaudahvin Raat k chand kee tarah chamakte honge doosra giroh wah jaise koie nihayat Raushan sitara Jannatiyon k dil mein koie bhed bhav na hoga aapas mein sab ek dil honge Jannation mein se har ek ko khas hooron mein se kam se kam do 2 Biwiyan aisi milegi ki sattar hode pahane hongi fir bhi un jodon aur gosht k bahar se unki pindaliyon ka gooda dikhaee dega jaise safed gilas mein surakh sharab dikhaee deti hai yah isliye ki Allah ne un hooron ko Yakoot kee tarah kaha hai
Aur Yakoot mein agar ched kar k dhaga dala jaye tou zaroor bahar se dikhaee dega Aadami apne chehre ko unke rookhsar mein aaeene se bhi zyada saaf dekhega uske rookhsar par ek mamooli moti hoga lekin us moti mein itni chamak hogi ki usse poorab se pashchim tak raushan ho jayega Jannat Ka kapda duniya mein pahsna jaye tou use dekhne wala behosh ho jaye Mard jab Jannat kee Auraton k pas jayega tou unhe har bar kunwari Payega magar, iski wajah se Mard w Aurat kisi ko koie takleef na hogi hooron kee thook mein itni mithas hogi ki Agar koie hoor Samundar mein Ya saat Samundaron mein thook de tou saare Samundar Sahad se zyada meethe ho jayenge jab koie Aadami Jannat mein jayega tou us k sarhane paitane do 2 Hoore bahut Acchi Aawaz se gana gayegi magar unka gana dhol bajon k sath nahi hoga balki wah apne ganon mein Allah kee tareef karengi un kee Aawaz mein itni mithas hogi ki kisi ne waisi Aawaz na suni hogi aur wah yah bhi gayegi ki hum hamesha rahne waliyan hain kabhi na marenge hum chain waliyan hain kabhi takleef mein na padenge aur hum Razi hain...
Ref ( Bahar E Sharee'at )

For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments