SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-24

Tameele Irshad Mein Kotahi Karne Walon Ka Haal


Kaseeroottadad Buzurgo Maslan Shaikh Adee Bin Musafir Shaikh Abu Saeed Qailavee Shaikh Ali Bin Heeti , Shaikh Ahmed Bin Rifaee Shaikh Abul-Qaaim Al-Basari ,  Shaikh Hayaat Al-Haraani Wagairahum Alaihim Arrizwaan ne is Haqeeqat kee shahadat dee hai ki Aap qadami Hazehee Ala Raqbate kulli WaleeyiAllah kahne par mamoor the , Wa  Annahu Azinna Lahoo fee Azle Man Ankaraha Alaihi Min Auliya e"  Neez aapko us shakhs kee Viladat se ma'azool karne ka ikhtiyar diya gaya hai jo aapke is irshad ka inkar kare...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 25 , Satar 20 ta 22 )

☆ TARJAMA :- ( Maine Aapke irshaad par ) Mashriq aur Magrib mein Auliya Allah ko apni gardane jhukate hue dekha aur maine ek shakhs ko dekha ki us ne apni gardan na jhukaee tou uska haal Digar goo'n ho gaya...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 25 , Satar , 22 ta 23 )

Majlis Mein Rizaale Ghaib Ka Hazir hona


Hafiz Abu Zar'aa tahir Bin Muhammad Zahir Al-Muqaddasi Addari Alaihirrehma farmate hain ki ek martaba main Huzoor Ghous e Pak Razi'allahu ta'ala anhu kee majlise wa'az mein hazir tha tou aapne irshad farmaya ki mera Kalaam Rizaale Ghaib se hota hai jo kohe qaaf se meri Majlis mein shirkat k lie hazir hote hain

Baad mein aapke lakhte Jigar Farzande Arjumand Sahabzaada Shaikh Abdurrazzaq Alaihirrehma se us waqt ka haal daryaftkiya tou aapne irshad farmaya ki Huzoor ke is farman k waqt jab maine oopar nazar utha kar dekha tou hawa mein rijaale Ghaib kee safon kee Safe Nazar Aaee aur un se tamaam ufuq bharpoor tha aur yah log apne saron ko jhukae hue Hazrat Ghous e pak ka kalame Mubarak sun rahe they...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 58 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.