Durood sharif ki fazilat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Durood sharif ki fazilat

Durood sharif ki fazilat

Darood w salam ki rahmaten

(1) قال رسول الله صلی الله علیہ وسلم من صلی علی صلوة واحدة صلی الله علیہ عشرا 

(1) rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ne farmaya jo mujh par ek martabah darood padhta hai Allah ta'ala us par 10 rahmaten nazil farmata hai 

Ref ( Muslim shareef , Abu daood , jild , 1 , page:214 , darmi , page :4

Ham garibon ke Aaqa pe behad darood 
Ham faqiron ki sarwat pe lakhon salam 

(2) قال رسول الله صلی الله علیہ وسلم من صلی علی صلاة واحدة صلی الله علیہ عشر صلووا و حطت عنہ عشر خطیات و رفعت لہ عشر درجات 

(2) Rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ne farmaya : jis ne mujh par ek baar darood shareef padha Allah ta'ala us par 10 martabah rahmaten nazil farmata hai aur us ke 10 ghunah ma'af kiye jate hain aur us ke 10 darje buland hote hain 

Ref ( Nesaee shareef , jild , 1 , page :145 

Ham garibon ke Aaqa pe behad darood 
Ham faqiron ki sarwat pe lakhon salam 

(3) قال رسول الله صلی الله علیہ وسلم من صلی علی من امتی صلاة مخلصا من قبلہ صلی الله علیہ بھق عشر صلوات و رفعہ بھا عشر درجات و کتب لہ بھا عشر حسنات و محی عنہ عشر سیات 

(3) yani rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ne farmaya jo mera ummati mujh par ek martabah kholoos dil se darood bheje Allah ta'ala us par 10 rahmaten nazil farmata hai aur darood shareef ki barkat se 10 darje buland farma deta hai aur us ke namaye Aamal me 10 nekiyan likhta hai aur us ke 10 ghunah mitata hai 

Ref ( Nesaee shareef , jild ,1 , page :145 , kanzul Aamal , jild , 1 ,  page :248 

Ham garibon ke Aaqa pe behad darood 
Ham faqiron ki sarwat pe lakhon salam 

(4) قال رسول الله صلی الله علیہ وسلم اولی الناس بی یوم القیامة اکثرھم صلوة 

(4) yani rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ne farmaya qayamat ke din logon me se ziyadah qareeb wah hoga jo mujh par kasrat se darood padhe ga 

Ref ( Tirmizi shareef , jild , 1 , page :110 , Mishkat shareef , page :86 )

Ham garibon ke Aaqa pe behad darood 
Ham faqiron ki sarwat pe lakhon salam

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.