Khauf e khuda
KHAUF E KHUDA
khaufe khuda se rone wale par dozakh ki Aag haram hai
Hazraat ! Baroz e qayamat ek shakhs ko laya jai ga jab us ke Aamal taule jain ge to buraee ka palda bhari ho jai ga - chunanche use jahannam me dalne ka hukum mile ga us waqt us ke palkon ka ek baal Allah ta'ala ki bargah me arz kare ga aye rab ta'ala ! Tere mahboob rasool صلی الله علیہ وسلم ne farmaya tha :
Jo shakhs Allah ta'ala ke khauf se rota hai to Allah ta'ala us par dozakh ki Aag haram kar deta hai hai aur mai tere khauf se roya tha - Allah ta'ala irshad farmaye ga is shakhs ko ek ashkbaar baal ke badle jahannam se bacha liya jai - us waqt hazrat jibraeel alaihis salam pukaren ge folan bin folan ek baal ke badle najat pa gaya
Ref ( makashefatal qoloob , page :8
Hadees shareef :- Aaftab e nabuwat , mahtab e resalat , mustafa kareem , صلی الله علیہ وسلم ne farmaya : koi aisa bandah momin nahi jis ki Aankhon se khaufe khuda se makkhi ke par ke barabar Aansu bahe to us shakhs ko kabhi jahannam ki Aag chhue
Ref ( Kanzul Aamal , jild , 3 , page :142 , Tibrani kabeer , jild , 10 , page :17 , ibne majah , jild , 2 , page :309
Hazrat abdullah amar bin Aas razi Allah ta'ala anho ka qaul hai ke 1000 dinar raah e khuda me kharch karne se mujhe khaufe khuda me ek Aansu baha lena ziyadah pasand hai
Ref ( Makashefatal qoloob , page :424
Hadees shareef :- Hazrat aun bin abdullah razi Allah ta'ala anho kahte hain ke khaufe khuda se bahne wale Aansu insaan ke jis hisse par lagte hain us hissa ko Allah ta'ala jahannam par haram kar deta hai
Ref ( sahi ibne habban , jild , 2 , page :92
Hazrat mohammad bin almunzir rahmatullah ta'ala alaih jab khaufe khuda se rote to Aansuon ke pani ko Apne dadhi aur chehre par mal liya karte the aur farmate the ke maine suna hai ke Aasuon ke pani jahan lag jain ge use jahannam ki Aag nahi jalayegi gi
Ref ( Makashefatal qoloob , page :9 )
next post insha Allah soon
plz share to others also
next post insha Allah soon
plz share to others also
No comments