Karamat e sahaba
KARAMAT E SAHABA
HAZRAT ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHO
KARAMAT
Khane mein badi barkat:
HAZRAT ABDURRAHMAN BIN ABOO BAKR SIDDIQUE*رَضِیَ اللهُ عَنْهُ* ka bayaan hai'n ki ek martaba HAZRAT ABOO BAKR*رَضِیَ اللهُ عَنْهُ* bargahe risalat ke teen mehmano'n ko apne ghar lae aur khud HUZOOR E AKRAM ﷺ ki khidmate AQDAS mein hazir ho gaye aur baat cheet mein vyast rahe yahan tak ki raat ka khana ap ne dastar khawane nubuwat par kha liya aur bahut zyaada raat guzar jane ke baad makaan par wapas tashreef lae un kee BIWI ne arz kiya ki aap apney ghar mehmano'n ko bula kar kahan gaayab rahe? HAZRAT SIDDIQUE AKBAR *رَضِیَ اللهُ عَنْهُ* ne farmaya ki kiya ab tak tum ne mehmano'n ko khana nahin khilaya? BiWI SAHIBA ne kaha ki maine khana pesh kiya magar un logon ne SAHIBE KHANA ki gair maujoodagi mein khana khane se inkar kar diya yah sun kar ap SAHABZADE HAZRAT ABDURRAHMAN *رَضِیَ اللهُ عَنْهُ* par bahut zyada naraz hue aur wah khauf wa dahshat kee wajah se chup gae aur aap ke samney nahin aaye fir jab aap ka gussa khatm ho gaya tou ap mehmano'n ke sath khane ke liye baith gae aur sab mehmano'n ne khoob pet bhar khana kha liya un mehmano'n ka bayaan hai'n ki jab hum khane ke bartan mein se luqma uthate they tou jitna khana hath mein aata tha us se kahin zyaada khana bartan mein neeche se ubhar kar badh jata tha aur jab hum khane se farig hue tou khana bajae kam hone ke bartan mein pahle se zyaada ho gaya HAZRATE SIDDIQUE E AKBAR *رَضِیَ اللهُ عَنْهُ* ne hairan ho kar apni BIWI SAHIBA se farmaya ki yah kiya mamla hai'n ki bartan mein khana pahle se kuch zyaada nazar aata hai'n BIWI SAHIBA ne qasam kha kar kaha wakaee yah khana tou pahle se teen 3, guna badh gaya hai'n fir aap us khane ko bargahe risalat mein le gae jab subah huie to achanak mehmano'n ka aik kafila darbare risalat mein utara jis mein barah 12, qabilo'n ke barah sardar they har sardar ke sath doosre 70, sawar they un sab logon ne yahi khana khaya aur qafala ke sardar aur tamam mehmano'n ka garoh un khane se shikam sair hokar aasoodah ho gaya lekin fir bhi us bartan mein khana khatm nahin hua...
Ref { Bukhari sareef jild, 1, safa 506 mukhtasar }
next post insha Allah soon
plz share to others also
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments