Karamat e sahaba - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Karamat e sahaba


KARAMAT E SAHABA

 HAZRAT ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHO 

 KARAMAT 

Nigahe karamat:

HUZUR E AQDAS SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM kee wafat ke baad jo qabile arab murtad hokar islam se fir gae they un mein qabeele kundah bhi tha chunanche AMEEROOL MOMINEEN HAZRAT E ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU ne us qabeela walo se bhi jihad farmaya aur mujshideene islam ne us qabeela ke bade sardar ya'ni as'as bin qais ko giraftar kar liya aur lohe kee zanjeero'n mein jakad kar us ko darbadre khilafat mein pesh kiya AMEEROOL MOMINEEN ke samney aatey hee ash'as bin qais ne buland aawaz se apney jurm ka iqrar kar liya aur fir fauran hee tauba karke sacche dil se islam qabool kar liya 

AMEEROOL MOMINEEN ne khush hokar us ka kusoor ma'aaf kar diya aur apni bahan HAZRAT"UMME FARDA" RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHA se us ka nikah karke usko apni qism qism kee insyato'n aur nawazisho se sarfaraz kar diya tamam hazreene darbar hairan rah gae ki murtad ka sardar jis ne murtad hokar AMEEROOL MOMINEEN se bagawat aur jang kee aur bahut se Muslmano'n ka khoon kiya aise khunkhwar bagi aur itne bade khatarnak mujrim ko AMEEROOL MOMINEEN ne is qadar kiyon nawaza? Lekin HAZRAT ASH'AS BIN QAIS RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU ne sacche musalman hokar iraq ke jihado mein apna sar hatheli par rakh kar aise mujahadana karname anjam die ki iraq kee jeet ka sehra unhi ke sar raha aur fir HAZRAT E UMAR RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU ke daure khilafat mein jange qadaseeya aur qila madain wa jaloola wa nihawand kee ladaiyon mein unhone sar farosi wa janbazi ke jo hairatnak karname pesh kie unhe dekh kar sab ko manna pada ki waqai AMEEROOL MOMINEEN HAZRAT E ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU ki nigahe karamat ne HAZRAT E ASH'AS BIN QAIS RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU Kee zaat mein chipe hue kamalat ke anmol jauharo ko salo'n pahle dekh liya tha wah kisi aur ko nazar nahi aae they yaqeenan yah AMEEROOL MOMINEEN HAZRAT E ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU Kee aik bahut badi karamat hai'n...

Ref { Izalatul khifa maqsad namber 2, safa 39


next post insha Allah soon

plz share to others

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.