Khauf e khuda - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Khauf e khuda

KHAUF E KHUDA

●Hadees shareef : Hazrat Abu umamah razi Allah anho se riwayat hai ke shaah e taibah , mustafa kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Ta'ala ko 2 qatro'n aur 2 nishaniyan se ziyadah koi chiz pasand nahi , Allah Ta'ala ke khauf se bahne wala Aansun ka qatra aur Allah Ta'ala ki raah me bahne wala khun ka qatra 

Ref { Tirmizi , jild , 4 , page : 190 , Tibrani kabeer , jild , 8 , page : 235 , at targhib wat tarhib , jild , 2 , page: 192 

●Hadees shareef : Hazrat Abu Hurairah razi Allah anho bayan farmate hai'n ke mahboob e khuda rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : Allah Ta'ala ka irshad e paak hai ke mujhe apni izzat ki qasam ! Mai apne bande par 2 khauf aur 2 aman ikhatte nahi karon ga - agar wah mujh se dunya me khauf rakhe ga to mai us ko qayamat ke roz aman me rakhun ga aur agar wah dunya me be khauf raha to mai us ko qayamat ke din khauf me mubtala karon ga 

Ref {  sahi ibne Habban , jild , 2 , page : 406 , at targhib wat tarhib , jild , 4 , page : 137 , Baihaqi , jild , 1 , page : 617 

●Hadees shareef : Murad e mustafa Ameerool Momineen hazrat umar farooq Aazam razi Allah anho ne ek din ek tinka hath me le kar farmaya : kaash ! Mai ek tinka hota , koi qabil e zikr chiz na hota - kaash ! Mujhe meri maan na janti - aur khauf e khuda se is qadar roya karte the ke Aap ke chehra par Aansu on ke bahne ki wajha se 2 siyah nishan pad gaye the 

Ref { makashefatul qoloob , page: 7 

●Hadees shareef : Mere Aaqa kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : jo shakhs khauf e khuda se rota hai wah jahannam me hargiz dakhil na hoga is tarah jaise ke doodh 2barah apne thanon me nahi jata 

Ref {  Tirmizi , jild , 1 , page : 292 , Nesaee , jild , 2 , page : 54 , Maanas e Ahmad , jild , 3 , page : 301 , makashefatul qoloob , page : 8 }

next post insha Allah soon
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.