Maqbool dua
MAQBOOL DUA
HUZOOR NABI E KAREEM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka irsaad mubarak hainسلوا الله من فضلہ فان الله یحب ان یسئل
TARJAMA:-Yani tum log ALLAH se uske fazl ka suwaal kartey raho kiyon ki ALLAH ko yah pasand hai'n ki uske bande us se dua mangte rahe
Ref { Mishkat shareef 195 }
Aur yah bhi hadees shareef mein hain ki
من لم یسئل الله یغضب علیہ
TARJAMA:- Yani jo ALLAH se nahin mangta ALLAH TA'ALA usse naraaz ho jata hai'n
Ref { Mishkat shareef 195 }
اجیب دعواة الداع اذا دعان
TARJAMA:- mai dua mangne wale ki dua kubool karta hoo'n jab wah mujhe pukare
Ref { para 2-7 }
ادعونی استجب لکم
Mujhse dua mango main kubool farmaoonga
Ref { 24-11 }
HADEES: RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM farmatey hai ki dua Muslmano'n ka hathiyar hai'n aur deen ka sutoon aasman wa zameen ka noor
Ref { Hakim }
Irsaad farmaya HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne ki jab bala utarti hain fir dus kee jati hai'n tou dua us bala se ja milti hain aur donon qayamat tak ladte rahtey hai'n yani dua us bala ko nahi utarne deti.
Ref { Buzaar , Tibrani, hakim }
RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irsaad farmaya kiya main tumhe wah cheez na bataoon jo tumhare dushman se nijaat de aur tumhare rizq ko wasi "ZYAADA" karde raat din ALLAH TA'ALA se mangte raho ki dua salahe momon hain
Ref { Aboo ya'ala }
ZIKR WA DUA SE GAFIL RSHNE WALON KA HAAL
RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya jo ALLAH TA'ALA se dua na kare us par ALLAH TA'ALA gazab farmata hai'n
Ref { Tirmizi, Bukhari }
next post insha Allah soon
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments