Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

SEERAT UL ANBIYA

HAZRAT AADAM ALAIHIS'SALAM KI PAIDAISH

Riwayat karney waley bayaan kartey hai'n ki jab apni khilafat"nayabee" ke lie Allah ta'ala ka irada hua ki:

Tarjama:- 

"Mai zameen mein ek khaleefa bananewala hoo'n"

Tab Hazrat izraeel Alaihissalam ko hukm hua ki har qism kee laal-safed aur kali ek muththi ranga-rang mittee jama karke lae aur Allah ke mutabiq Mak'ka aur Tayaf ke darmiyan rakhi gaee Allahan ne us mittee par apni rahmat ki barish kee aur mittee ke khameer se Hazrat Aadam Alaihissalam ka putla taiyaar kiya,40 wars tak wah putla bejaan pada raha jab Allah ta'ala ne chaha ki Hazrat Aadam Alaihissalam ka sitara raushan ho aur aadmi aulad "insaan" ka darja poori duniya mein buland ho, to rooh ko hukm hua ki Aadam Alaihissalam ke jism mein utar us narm rooh ne sakht mitti mein jane se inkar kiya rab ka hukm rooh ko pahuncha ki ae jaan! Is badan mein dakhil hoh fir jab rooh Aadam Alaihissalam ke sir kee taraf dakhil huee tou jis-jis jagah pahunchati jati,patthar bana jism Mans-Haddi me badalta chala gaya jab seene tak pahunchi tou Hazrat Aadam Alaihissalam ne uthne ka irada kiya, wahi zameen par gir pade shayad isi lie quran majeed mein farmaya gaya hai'n ki insaan bada jaldbaz hai'n usi halat mein hazrat Aadam Alaihissalam ne chinka, allah kee or se, ilham hua aur kaha alhamdulillah "tamam tareefe allah kee hai" us kareem-raheem ne apni rahmat se farmaya YARHAMU KALLAH "Allah aap par rahmat farmaye" yah Allah kee rahmat ka pahla jalwa tha  iske baad Allah ke hukm se aik farishta bahisht se saja-sajaya joda laya Hazrat ko pahnaya aur ek ke sath takht par bithaya

Ref { Qassul Anbiya pg, 21,22 }

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com



No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.