Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

SEERAT UL ANBIYA

HAZRAT AADAM ALAIHIS'SALAM KEE PRASTH

Tab shaitan saanp ke paas gaya aur usko apney jaal mein fansa hee liya saanp usko munh mein rakhkar bahisht mein le gaya fir Hazrat Aadam aur Hawwa ke paas gaya aur rona shuroo kar diya poocha kiyon rota hai'n?
unhone shaitaan ko pahchana nahi tha shaitaan ne kaha main tumko naseehat karta hoo'n mujhko tou tumhare haal par rona aata hai'n ki tum is bahisht se nikale jaoge aur ye bahist kee nemate tumsey sab kee sab le lee jayegi aur zindagi kee lazzat ke bajaye maut ke dard ka maza chakhoge  dono ne shaitaan kee jab ye baate suni tou bada gam hua iblees ne kaha agar tum mera kahna mano tou tum ko ek ped bataoon agar thoda fal FRUIT khaoge tou hamesha zinda rahoge aur maut ke shakl kabhi na dekhoge  

Hazrat Aadam Alaihissalam ne poocha, wah ksun-saa hai'n? 
Shaitaan ne kaha wahi ped hai'n jiske khane se Allah ta'ala ne mana kiya hai'n Hazrat Aadam Alaihissalam ne is baat ko qabool nahi'n kiya ki main khuda kee kabhi nafarmani na karoonga jab shaitaan ne qasam khaee ki main tumhara bhala chahta hoo'n tou bhi wah is nafarmani ke liye taiyaar na hue aur uthkar chale gaye fir shaitaan ne Hazrat hawwa kee khidmat me jakar is tarah uske dil mein bhi vasvase dale aur saanp ne shaitaan ke kahne par gawahi dee Hazrat hawwa ne Hazrat Aadam Alaihissalam se farmaya ki sanp tou bahisht ka khadim hai'n aur wah shaitan ke haq mein gawahi de raha hai'n, tou main pshle is ped ka fal FRUIT khati hoon agar koie baat pade tou mere waste khuda se mafi mang lena aur nahi tou tum bhi khao ki hum tum donon tamaam umr bahisht kee nemato'n ko chain se khaya kare..

JANNAT SE NIKALE GAYE

part 01

Kaha jata hai'n ki Allah ta'ala ne shuroo hee tai kar diya tha ki Aadam ki farmabardar aulad bahisht mein aur nafarman aulad dozakh mein jayegi agar sabko jannat hee rakhna beta to dozakh kaise bhari jati aur aamal ka hisaab-kitab hee kio'n hota gehoo'n ka paudha bhi isi aazmaish ke liye rakha gaya tha jo unke bahisht ke nikale jane kee wajah bana ulma ne likha hai ki jab Hazrat Hawwa ne thode se gehoo'n ke fal FRUIT kha liye aur unke kahne se Hazrat Aadam Alaihissalam ne bhi kuch kha liye to abhi tak Hazrat Aadam Alaihissalam ke mede mein gehoo'n poori tarah Hazam bhi nahi'n hua tha ki bahisht ka libaas jism se gir pada jism nanga ho gaya majboor hokar injeer ke patto'n se jaldi-jaldi jism dhanka hukm hua ki Ae Aadam !tere nange hone kee wajah kiya hai'n ?
Kaha, Allah! iski wajah yah hai'n ki teri marzee par amal na kiya, us mana kiye hue ped ka fal FRUIT kha liya fir Aadam Alaihissalam ne yah bhi arz kiya ki yah galti saanp aur moor ke bahkane aur qasam khane se huee hai'n, jabki ye bahisht ke ameen aur rakhwale hai'n

Kaha jata hai'n ki us waqt saanp shakl wa soorat ke aitbaar se bahut hee khubsoorat tha,is jaisa bahisht mein koie janwar bhi na tha Allah ta'ala ne is gunah ki wajah se uska chehra bigad diya mitti-dhool ko uska khana bana diya aur pet-seene ke bal zameen ko ragadna aur chati ko cheelna muqaddar ho gaya isi jurm ke azaab ke taur par Hazrat hawwa aur unki betiyon ko janne ka dard diya, haiz "MAHAWARI" ki gandagi dee aur khawido'n ke hukm mein rahna aur unki tabedari karna tai kar diya

Ref { Qassul Anbiya pg, 23,23,25 }

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.