Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Aur uski qudrat kee nishaniyo'n mein se samundar mein pahad-jaise jahaz hai'n, agar we chahe to hawa ko thahara de aur we jahaz samundar kee satah pr khade ke khade rah jae beshak isme qudrat par dalalat ke lie har sabir wa shakir momin ke liye nishaniyan hai'n ya agar we chahe to hawa chalakar un jahazon ke sawaro ko unke bure amaal kee wajah se tabah kar de aur bahut-se to darguzar hee farma deta hai'n

Ref { Surah: Shoora , 32-34 }

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Aur hamne dawood Alaihissalam ko apni taraf se badi nemat dee thi chunanche hamne pahadon ko hukm diya tha Dawood Alaihissalam ke sath mil kar tasbeeh kiya karo aur yahi hukm parindon ko diya tha aur hamne unke lie lohe ko mom kee tarah narm kar diya tha..

Ref { Surah: Saba, 10 }

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Hamne qaroon kee shararato'n ki wajah se usko apne mahal samet zameen mein dhansa diya fir uski madad ke liye koie jama'at bhi khadi nahi huie jo Allah ta'ala ke azaab se usko bacha leti aur wah apney aap ko khud hee bacha saka.

Ref { Surah , Qasas ; 81 }

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Aur hamara hukm to bas aik martaba kah dene se palak jhapakne kee tarah poora ho jata hai

Ref { Surah; Qamar , 50 }

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Usi ka kaam hain paida karna aur usi ka hukm chalta hai'n

Ref { Surah; Araaf : 54 }

Allah Ta'ala ka irshad hai'n:
Har Nabi ne aakar apni qaum ko ek hee paigam diya ki Allah ta'ala hee kee ibadat karo, uske siwa koie zaat bhi ibadat ke layaq nahi.

Ref { Surah: Aaraf : 59 }
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.