Karamat e sahaba - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Karamat e sahaba

KARAMAT E SAHABA

HAZRAT ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

Karamat 

DAFAN KE BARE MEIN GABI AAWAZ:

Hazrate Aaisha Siddeeqa razi'allahu ta'ala anha farmati hai'n ki Ameerool Momineen hazrate aboo bakr siddique razi'allahu ta'ala anhu ke visaal ke baad sahaba-e-kiram mein ikhtilaf paida ho gaya ki aap ko kahan dafan kiya jae?
Kuch logon ne kaha ki un ko shuhada-e-kiram ke qabristan mein dafan karna chahiye aur kuch hazrat chahte they ki aap kee qabr shareef jannatul baqee'a mein banaee jaae lekin meri dili khawahish yahi thi ki aap mere usee gujra mein dafanae jaen 

Jis mein huzoor Akram sallallahu alaihi wasallam kee qabr munawwar hain yah baat cheet ho rahi thi ki achanak neend lag gaee aur khawab mein yah aawaz maine suni ki koie kahne wala kah raha hai'n ki 

TARJAMA:- "ya'ani habeeb ko habeeb se mila do" khawaab se uth kar maine logon se us aawaz ka zikr kiya tou bahut se logon ne kaha ki yah aawaz ham logon ne bhi suni hain aur MASJIDE NABWI ke andar bahut se logon ke kano'n mein yah aawaz aaee hai'n us ke baad tamam sahaba-e-kiram ka is baat par ittefaq ho gaya aap huzure Anwar Sallallahu alaihi wasallam ke pahlooe Aqdas mein madfoon hokar apney habeeb ke kurte khaas se sarfaraz ho gaye..

Ref { Shawahidunna'buwah safa 150 }

next post insha Allah soon 

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.