Gaib ki baton par iman
GAIB KI BATON PAR IMAN
♤Hazrat Abdullah bin masood Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat kartey Hain ki RASOOL'ALLAH SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya :
Insan ke dil me ek khayaal to shaitaan kee taraf se aata hain aur ek khayaal faristey kee taraf se aata hain shaitaan kee taraf se aane wala khayaal yah hota hain ki wah buraee par aur haq ko jhuthalane par ubharta hain faristey kee taraf se aane wala khayaal yah hota hain ki wah neki aur haq kee tasdeeq par ubharta hain
Lihaza jo shakhs apne andar ki aur haq kee tasdeeq ka khayaal paae usko shamajhna chahiye ki yah Allah ta'ala kee taraf se ( hidayat ) hain aur us par usko shukr karna chahe aur jo shakhs apne andar doosri kaifiyat ( shaitani khayaal ) pae to usko chahie ki shaitaan mardood se Allah ta'ala kee panah mange fir RASOOL'ALLAH SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM ne quran e kareem kee yaayat tilawat farmai jis ka TARJAMA yah hain
♡SHAITAAN TUMHE FAKR SE DARATA HAIN AUR GUNAH KE LIYE UKSATA HAIN
Ref ( Tirmizi )
♧Hazrat Abuddarda Razi'allahu ta'ala anhu farmatey hain ki RASOOL'ALLAH SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya ; Allah ta'ala kee azmat dil me bathao wah tumhe bakhsh dega..
Ref ( Musnad Ahmad )
next post inshaAllah soon
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments