Seerat ul anbiya
SEERAT UL ANBIYA
HAZRAT AADAM ALAIHIS'SALAM KEE PAIDAISH
HABEEL AUR QABEEL
Hazrat Aadam Alaihis'salam kaba ko HAJ ke waste jaya kartey they ek baar arfat pahad par gae Allah Ta'ala ne unki peeth se qiyamat tak paida hone wali tamam nasl kee roohon ko, jinme achchon ko seedhi taraf aur buron ko ulti taraf la khada kiya aur sabsey poocha
TARJAMA:- SAB NE KAHA BALA ( HAAN , TU HAMARA RAB HAIN )
Allah ta'ala ne unke is iqrar par farishton kee gawahi Lee aur use hajre aswad ( kale latthar ) me amanat ke taur par rakh dee hazrat Ali Razi'allahu ta'ala anhu Isi liye riwayat kartey Hain ki jo koie HAJ kare ga, to hajre aswad uski gawahi dega jab hazrat Aadam Alaihis'salam apni itni nasl ko dekhi to khuda se arz kiya ki khudawand ! itne sare log duniya me kahan samayenge ?
Irshad hua ki ye tamam roohe ek sath duniya me nahi aayengI kuch ko Zameen par rakhoonga kuch marne ke baad Zameen ke neeche hongi , kuch ko bapon fee pusht me aur kuch maon ke pet me hongi
Hazrat Aadam Alaihis'salam jab arz kar rahe they us waqt hazrat Aadam kee seedhi taraf ek haseen naw jawaan maujood tha, wah ro raha tha hazrat Aadam kee nazar us par padi unhone hazrat Jibraeel alaihis salam se poocha yah kaun hain ?
Unhone bataya yah tumhari nasl hee ka ek naujawan hai, jo Allah ka paigambar hai name daoowd hai ek choti si khata kee wajah se wah ro raha hai Hazraat Aadam ne poocha umr kiya hai bataya 60 wars fir hazrat Aadam Alaihis'salam ne qible kee taraf munh karke dua kee ki khudawand ! meri umr to too ne ek hazar wars kee muqarrar kee hai , meri is umr me se too is ko 40 wars de de.
Ref ( Qanssul Anbiya pg29,30 )
next post inshaAllah soon
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
OPEN THIS LINK ➡ Beautiful Naat Shareef Hamesha zahan ke parde pe karbala rakhye
OPEN THIS LINK ➡ Beautiful Naat Shareef Hamesha zahan ke parde pe karbala rakhye
No comments