Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN 

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se riwayat farmatey hain ki Allah ta'ala ke yaha'n 100,rahmatey hain usne unme se ek rahmat jinn wa ins, janwar aur keede-makodon ke darmiyan utari hai usi ek hisse kee wajah se wah ek doosre par narmi aur raham karte hai'n , usi kee wajah se wahshi janwar apne bachche par shafqat kartey Hain aur Allah ta'ala ne 99 rahmaton ko qiyamat ke din ke liye rakha hai ki unke zarie apne bandon par rahmat farmayega ek riwayat me hai ki jab qiyamat ka din hoga ,to Allah ta'ala apni in 99 rahmaton ko is dunyawi rahmat ke sath milakar mukammal farmayega ( fir 100 kee 100 Sao rahmaton ke zarie apne bandon par raham farmayega..

Ref ( Muslim )

Hazrat umar khattab Razi'allahu ta'ala anhu riwayat farmatey hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke paas kuch qaidi lae gaye unme ek aurat par Nazar padi jo apna bachcha talash karti fir rahi thi jab use bachcha mila, usne use utha kar apne pet se lagaya aur doodh pilaya Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne hamse mukhatab hokar farmaya : tumhara kiya khayal hai, yah aurat apne bachche ko Aag me dal sakti hai?  hamne arz kiya: Allah kee qasam , nahi'n ! khusoosan jab ki use bachche ko Aag me na dalne ki qudrat bhi hai ( koie majboori nahi'n ) is par aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya : yah aurat apne bachche par jitna raham wa pyar karti hai Allah ta'ala apne bandon par isse kahin zyada raham wa pyar karta hain

Ref  ( Muslim )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu farmatey hain ki  ( ek martaba ) Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam namaz ke liye khade hue ham bhi aap ke sath khade ho gaye ek dehati ke rahne wale ( nau Muslim ) ne namaz me hee kaha: Ae Allah ! ( sirf ) mujh par aur muhammad mustafa sallallahu alaihi wasallam par raham kar, hamare sath kisi aur par raham na kar jab aap ne salam fera tou us dehati ke rahne wale se farmaya : tumne badi wasee'a cheez ko tang kar diya ( ghabrao nahin! rahmat tou itni hai ki sab par cha jae, fir bhi tang na ho, to tum hee use tang samajh rahe ho )

Ref ( Bukhari )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu riwayat farmatey hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya :us zaat kee qasam jiske qabze me muhammad mustafa sallallahu alaihi wasallam kee jaan hai, is ummat me koie shakhs yahoodi ya esaaee aisa nahi'n jo meri ( Nuboowwat ki ) khabar sune , fir is deen par imaan na lae jisko dekar mujhe bheja gaya, aur ( isi haal par )Mar jae tou yaqeenan wah dozakhiyon me hoga 

Ref ( Muslim )

Hazrat jabir bin abdullah Razi'allahu ta'ala anhu farmatey hain ki kuch farishte Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke paas us waqt aae, jabki aap so rahe the farishton ne Aapas me kaha: Aap soe hue hain kisi farishte ne kaha: aankhen so rahi hain lekin dil to jaag raha hai fir aapas me kahne lage: tumhare in sathi ( Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ) ke bare me ek misal hai, unko unke samne byaan karo doosre farishton ne kaha : wah tou so rahe hai ( lihaza byaan karne se kiya fayada? )unme se baaz ne kaha: Beshak aankhen so rahee hai'n ,  lekin dil tou jaag raha hai fir farishte ek doosre se kahne lage : unki misal aisi hai jaise ek shakhs ne makan banaya aur usme dawaat ka intezaam kiya fir logon ko bula ne ke liye aadmi bheja jis ne is bulane wale kee baat maan, lee wah makan me dakhil hoga aur khana bhi khayega aur jis ne is bulane wale kee baat na mani wah na makan me dakhil hoga aur na hee khana khayega yah sunkar farishton ne Aapas me kaha: is misal kee wazaahat karo, taki yah samajh le baaz ne kaha: yah tou so rahe hain ( wazaahat karne se kiya fayada? ) doosron ne kaha: aankhen so rahee hain magar dil tou bedar hai fir kahne lage : wah makan jannat hai ( jise Allah ta'ala ne banaya aur usme mukhtalif nematen rakh kar dawat ka intezaam kiya ) aur ( us jannat kee taraf ) bulane wale hazrat muhammad mustafa sallallahu alaihi wasallam hain jis ne muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ki ita'at kee, usne Allah ta'ala kee ita'at kee ( lihaza wah jannat me dakhil hoga aur waha'n kee nematen hasil karega ) aur jis ne muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee nafarmani kee, usne Allah ta'ala kee nafarmani kee ( lihaza wah jannat kee nematon se mahroom rahega ) muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne logon kee do qisme bana dee, ( Mane wale aur na manne wale )

Ref ( Bukhari )

KHULASA  : 

Hazrate Ambiya-e-kiram Alaihi mussallam kee yah khusoosiyat hai ki unki neend aam insanon kee neend se mukhtalif hoti hai aam insan neend kee halat me bilkul be khabar hote hain, jabki Ambiya kee halat me bhi bilkul be khabar nahin hote unki neend ka ta'alluq sirf Aankhon se hota hai, dil neend kee halat me bhi Allah ta'ala kee zatey Aali se juda rahta hai..

Ref ( Bazlul Majhood  )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.