Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi


ZIKR E NABI 

HADEES E NOOR


mosannif Abdur razzaq me mohaddis madina manawwara Hazrat imam malik razi allah anhu  ke shagird e rashid aur Hazrat imaam ahmad razi allah anhu razaq abubakr bim humaam Hazrat jabir bin abdullah ansaari razi allah anhu se hadees rawayaat karte hai ke Hazrat jbir bin abdullah razi allah anhu farmate hain ke, mane Arz kiya ya rasool allah sallallahu alaihi wasallam mere  maa'n baap Aap par qurban hon ,mujhe khabar dijye ke Allah  taala ne sab ashyaa se pahle kis chiz ko paida farmaya to hamare Aaqa sallallahu alaihi wasallam ne farmaya , aye jabir beshk Allah ta'ala ne tamaam chize se pahle  Tere nabi ke noor ko apne noor se paida farmaya phir wah noor Allah ta'ala ki qudrat se Jahan Allah ta'ala ne chaha daur Karta Raha usi waqt lauhe Mahfouz , qalam , jannat , dozakh, farishte , Aasman , zameen , suraj , Chand , Jin , insan , kuchh Na tha

Ref ( mawahebe ladunya , jild , 1 , page :9 sharhe zarqani , jild :1 , page :46 , sirat e halbiya , jild :1 page:50 , fatwa hadisiya ibne hajar makki , page:51 , madaredun nabuwat , jild : 1 , page:309 , anwaare mohammadiya , page :13 

Aur wahabiyon deobandiyon ke mash'hur peshwa ashraf Ali thanwi ne is hadees e noor ko apni kitab , Nashrut tayyab ke page 6 par likha hai

Aur shaikh Abdul Haq mohaddis dehlawi Razi Allah anho hamare huzoor sarapa noor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya

Allah ta'ala ne sab se pahle mere noor ko paidah farmaya , mai Allah ta'ala ke noor se Hun aur  sari makhlooqat mere noor se hai

Ref ( Mataleul mosarraat Fi sharhe dalayelul khairaat , page : 72 , madaredun nabuwat, jild , 2 , page:1 )

♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.