Khauf e khuda - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Khauf e khuda

KHAUF E KHUDA

Hadees shareef :- Hamare huzoor sarapa noor صلی الله علیہ وسلم dua manga karte the ke aye Allah ta'ala mujhe aiai Aankhen ata farma jo tere khauf se rone wali ho

Ref ( Kanzul amaal , jild , 2 , page 184 )

Hazraat :- Hamare Aaqa mahboob e khuda rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ki Aankhen to hamesha roti hi rahti thin lekin is hadees e paak me taleem e ummat aur hedayat ke liye farmaya take ummati ki Aankhen bhi khaufe khuda se rone wali ho jain

Aye imaan walon ! Aalam e rabbani hujjatul islam imaam mohammad ghazali razi Allah ta'ala anho ek ka qaul naqal farmate hain ke khaufe khuda se rone wale ka ek Aansu samandaron jaisi taweel w areez Aag ko bujha deta hai

Ref ( makashefatal qoloob , page :424

Ummul momeneen hazrat aaesha siddiqah razi Allah anha ki ashk bari

Hadees shareef :- Hazrat hasan razi Allah ta'ala anho bayan farmate hain ke Aaftab e nabuwat , mahtab e resalat mustafa kareem صلی الله علیہ وسلم Hazrat Aaeesha siddiqah razi Allah anha ke god me sar e anwar rakh kar Aaram farma the - Hazrat Aaeesha siddiqah razi Allah anha Aakhrat ki yaad kar ke khaufe khuda me ro padin aur unke Aansu Aaqa kareem صلی الله علیہ وسلم ke chehre anwar par gire to huzoor صلی الله علیہ وسلم  ki Aankhen khul gain to Aap صلی الله علیہ وسلم ne farmaya ! Aaeesha q roti ho ? To ummul momeneen ne arz ki huzoor ! Aakhrat ko yaad kiya to khaufe khuda se Aankhen ashk baar ho gain

Ref ( makashefatal qoloob , page :295 )
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.