Maqbool dua - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Maqbool dua

DUA KUBOOL HONE KE ZARIYE


Aala Hazrat azeemul barkat radiyallahu ta'ala anho ke walide majid hazrat allama nakee ali kha'n rahmatullahi ta'ala Alaih irshad farmatey hai'n ki har dua ke awwal wa aakhir nabi e kareem sallallahu alaihi wasallam aur unke aal wa ashab par durood Allah ta'ala kee bargah mein maqbool hai'n aur parwardigare kareem is se bartar ki awwal wa aakhir ko kubool farmaye aur ausat ko radd karde :-

Hadees shareef mein hain ki huzoor sallallahu alaihi wasallam farmatey hai'n dua allah ta'ala se hijaab mein hain jab tak mujh par aur mere ahle bait par durood na bheja jaye.

Ref { Baihqee }

Aala hazrat kuddoos sirrahu farmatey hai'n ae azeezo dua tair hain aur durood shehapar tair be par kiya ud sakta hai'n.

Ref { Ahsanul visa }


APNI DUA MEIN HUSN PAIDA KARO


Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ki Ae logo! Allah ta'ala se daro aur talab mein husn paida  karo Allah tumhe acche andaz mein rizk ata farmayega

Ref { Mishkat shareef }

Tasawwur e azmato jalale ilahi mein doob kar dua kare aala Hazrat ALAIHIRRAHMA  ne farmaya ! Agar is mubarak taswwar ne galba kiya ki zabaan band ho gayi tou "SUBHAN ALLAH" yah khamooshi hazaar duaon se zyaada kaam degi warana is qadar tou jaroor ki maurise haya wa adab wa khujoo wa khushu'a hoga ki yahee roohe dua, dua be iske tane bejan se ummeede jihalat 

Ref { Ahsanul wi'aa }

DUA MEIN SHARM NA KARE 


Aala hazrat alaihirrahma ne farmaya ki dua mein takabbur aur sharm na kare maslan tanhayi mein dua nihayat tazarroo'a wa ilhah se kar raha hai apna munh khoob gid gidane ka bana raha hai ab koyee aagaya tou us halat se sharma kar maukoof kar diya yah sakht himaqat aur MA'AZLLAH ALLAH kee janab mein takabbur se mushsbeh hai uske huzoor gidgidsna msujibe hazaar izzat hai na ki MA'AZLLAH ALLAH khilafe shan wa shaukat 

Ref { Ahsanul wi'aa }

Hadees:

Dus mangane wale ko kabhi hargiz mayoos nahin hona chahiye kiyoki yah bhi hadees shareef mein aaya hai ki bando'n kee duayen teen Soorato'n mein se aik soorat mein jaroor maqbool hoti hai'n:

(1) Ya to uski mange huyee muraad ko Allah ta'ala duniya mein bahut jald ata farma deta hai'n 

(2) Ya tou uski dua ko aakhirat mein uske liye neki ka zakheera bana deta hai 

(3) Ya us par aane wali kisi museebat ko daf'aa farma deta hai 

Ref { Mishkat shareef , 196 }
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.