Seerat ul anbiya
SEERAT UL ANBIYA
HAZRAT AADAM ALAIHIS'SALAM KEE PAIDAISH
JANNAT SE NIKALE GAYE
Mor ko bhi saza mili uski bhi shakl badal gayi chunanche paaw'n tou bad-soorat ke lie mashhoor hee hai'n fir hukm hua ki sabke sab bahisht se niklo aur zameen par utaro aur aapas mein aik doosre ke dushman bane raho is tarah Aadam Alaihissalam,Hawwa, shaitan,saanp aur mor, sabhi jannat se zameen par zillat aur rooswaee ke saath pahuche aur saza ke taur par sab-ke-sab alag rakhe gaye Riwayat mein hai'n ki Hazrat Aadam Alaihissalam sarandeep mein, Hazrat hawwa jadda mein, shaitan seestaan mein, saanp asfahan mein aur mor kabul mein utara gaya isi tarah iblees aur Aadam Alaihissalam kee aulad mein hamesha hamesha ke lie dushri paida ho gayi aur qiyamat tak rahegi is waqiya ke baad Hazrat Aadam Alaihissalam ne 40, fin tak na khana khaya, na paani piya, hazrat hawwa kee judaee se tadptey rahe teen 3, sao saal tak rotey rahe aur tauba wa istigfar kartey rahe fir sabsey bade RAHEEM KHUDA ne apni meharbani se Hazrat Aadam Alaihissalam ke dil mein ye kalime utare.
TARJAMA:- Ae hamare Rab! Hamne apney aap par zulm kiya hai'n aur agar toone bakhsha Nahi'n aur raham na kiya tou ham zaroor hee ghata uthanewalo'n mein ho jayenge tere alawa koie ibadat ke layaq nahi too paak hai'n har galti se, aur teri har pahloo se tareef hai'n main ne aik khata kee aur maine apney aap par zulm kiya, tou too mujhe maaf kar de.
Is kalimo'n ke padhne ke baad Hazrat Jibraeel Alaihissalam aaye aur gunah ki mafi kee khushkhabri laye Hazrat Aadam Alaihissalam bahut khush hue khushi mein, Allah ka ishara pakar unhone chand kee taraf-chaudah-pandrh tsreekho'n ke Roze rakhe in rozo se unke qalb ko itmeenan hua aur jism ko rahat mili is dua aur Rozo'n kee isee barkat kee wajah se kaha jata hai'n ki Aadam ki aulad mein se jo bhi is dua ko padhega aur in teen3, Rozo'n kee har maheene mein aadat rakhega uske gunah maaf ho jayenge aur uska dil jo gunsho'n kee museebat mein syah ho raha hai'n, saaf aur raushan ho jayega
Iske baad Hazrat Aadam Alaihissalam ko hukm hus ki khan-e-kaba kee buniyad rakhe Hazrat Aadam Alaihissalam ne JIBRAEEL AMEEN kee taleem se aur farishto'n kee madd se kabe kee buniyad rakhi aur hajre aswad ko jise wah apne sath bahisht se laye the aur usme ahdanama sur qaul wa qarar Roze alaste ka khuda ne rakha tha, kabe mein aik taraf jamaya Jana taiyaar hone ke ba'ad Hazrat Jibraeel Alaihissalam ne HAJ aur TAWAF ke Tareeqe bataye Hazrat Aadam Alaihissalam in sabse chutti paakar Hazrat Jibraeel Aamin ke kahne se arfaat pahad par chade Hazrat Hawwa bhi Hazrat Aadam Alaihissalam ke liye pareshan thi, ghoomti wah arfaat pahunch gayi thi dhoop aur garmi se unka rang bhi badal gaya tha dono aik-doosre ko na pahchan sake Hazrat Jibraeel Alaihissalam ne aik doosrey ko pahchanwaya donon ka milna hua fir donon ALLAH ta'ala kee marzi ke mutabiq sarandeep ko aaye Hazrat Jibraeel Alaihissalam ne gehoon rooti aur lakdi pahunchayi kheti karna sikhaya do bail bheje aur dono mehnat mashqqat aur sukoon ke saath roti khane-kamane lage...
Ref { Qanssul Anbiya pg, 25,26,27 }
next post insha Allah soon
plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments