Khauf e khuda - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Khauf e khuda

KHAUF E KHUDA 

Hazrat khizr alaihis salam ne Hazrat musa alaihis salam ko nasihat ki

Hazrat khizr alaihis salam se Hazrat musa alaihis salam ne jab Alahidah hona chaha to Hazrat musa alaihis salam ne kaha ke mujhe nasihat kijye - Hazrat khiz alaihis salam ne kaha aye MUSA alaihis salam ! 

(1) khud ko jhagde se bachaye 

(2) zaroorat ke bagair qadam na otahaye 

(3) Ta'ajjub ke bagair mat hansye 

(4) ghunahgaron ko unki khataon ki wajha se sharmindah na karye 

(5) aur apni taraf se rab ke hozur rote rahye 

Ref ( Makashefatal qoloob , page:626 

Hadees shareef :- Mahboob e dawar shafiye mahshar صلی الله علیہ وسلم ne farmaya : ziyadah hansna dil ko murdah kar deta hai 

Ref ( ibne majah , page :309 )

Jawani me hansna budhape me rolata hai 

Mahboob e khuda , mustafa jaan e rahmat , صلی الله علیہ وسلم ne irshad farmaya ke - 

(1) Jo shakhs jawani me hansta hai wah budhape me rota hai - 

(2) Jo maldari me hansta hai wah faqeeri me rota hai - 

(3) aur jo shakhs zindagi me hansta hai wah maut ke waqt rota hai - 

Ref ( Makashefatal qoloob , page:627 )

Rona na Aaye to rone jaisa chehra bana lo 

Hadees shareef :- shaahe taibah ka irshad hai ke quran padho aur ruo yani namaz padho aur ruo , dua mango aur ruo , zikr e khuda karo aur ruo agar rona na Aaye to rone jaisa chehra banao 

Ref ( ibne majah page:309 )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
next post insha Allah soon

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.