Mohammad name rakhne ki fazilat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Mohammad name rakhne ki fazilat

MOHAMMAD NAME RAKHNE KI FAZILAT 

HADEES:-Hazrat ibne asaakar hazrat Aboo amama Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat kartey Hain ki Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki jis ke ladka paida ho aur wah az rahe mohabbat mere name se barkat hasil karne ki niyat se us ka name mohammad rakhe to wah aur us ka ladko dono'n bahisht me dakhil kiye jayenge . 

Ref ( Ahkame sharee'at )

HADEES:- Hazrat Aboo thir salafi aur hafiz ibn bakeer dono'n hazrat as Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat kartey Hain ki Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki qayamat ke din do shakhs khuda ke Huzoor me khade kiye jayenge farishton ko hukm hoga inhe jannat me le jao wah dono'n hairat se arz karenge ilahi! ham kis amal par jannat ke musthaq thaharae gae ham ne to duniya me jannat me Jane ke qabil koie kaam nahin kiya tha rab Ta'ala irshad farmaega ki merey izzat w jalal kee qasam hain ki merey jis momin bande ka name MOHAMMAD hoga mai dozakh me nahin daloonga.

Ref ( Ahkame sharee'at  )

HADEES:-Khateeb ne tareekh bagdad me aur delmi ne masnadul firdaus me Hazrat maula Ali karmullah wajahahu se riwayat ki hai ki Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki jab ladke ka name MOHAMMAD rakho tou us kee izzat karo wah kisi majid me aae tou use jagah do aur use bure lafzon se yaad na karo.

Ref ( Ahkame sharee'at  )

HADEES:- Hazrat Aboo shoyeb harani ne imam ata ustaz imame Aazam Aboo haneefe Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat kee hai ki Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki jo bete ki khawahish rakhta ho tou use chahiye ki wah apni hamala Biwi ke pet par hath rakh kar yah kahe ki Agar is pet me ladka hai to mai is ka name mohammad rakhta hoon khuda ne chaha tou is amal kee barkat se ladka hee paida ho 

Ref ( Ahkame sharee'at  )

HADEES:-Delmi ne Hazrat jabir Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat ki hai ki huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki jab tum kisi ka name mohammad rakho to na us ki tauheen karo aur na use mahroom karo kiyon ki barkat dee gaee hai mohammad ke name me aur us ghar me jis me koie mohammad ho aur us majid me jis me mohammad name ka koie shakhs ho.



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.