Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

SEERAT UL ANBIYA 

HAZRAT IDREES ALAIHIS'SALAM 

Jab qabeel kee Aulaad shaitaan ke bahne se gumrah ho gayi aur kufr w shirk me mubtala huie, yahan tak ki we haramkari aur beshrmi ke kamon ke shikar ho gae tou Allah ta'ala ne Hazrat idrees Alaihis'salam ko Nabi bana kar bheja hazrat idrees Alaihis'salam kee baton ko bahut se bale logon ne man liya aur we seedhe rastey par zindagi guzar ne lage, lekin kuch aise bhi they jinke dil syah ho chuke they kufr wa shirk aur bad akhlaqi unki zindagi ka hissa ban gayi thi unhone hazrat idrees Alaihis'salam kee baton ko thukra diya hazrat idrees Alaihis'salam ka paigam tha tauheed insaaf aur achcha akhlaq unki koshish se ek achcha samajpaida ho gaya ise dekhe ke liye hazrat izraeel insaani shakl me aur Allah ki ijazat lekar zameen par Aaye aur unki sohbat me kuch din guzara hazrat idrees Alaihis'salam ne dekha ki yah aadmi na khata hain na peeta hai khayaal kiya shayad yah farishta hai 

Jab idrees Alaihis'salam ko maloom hua ki yah maut ka farishta hazrat izraeel  Aamin hai to unhone kaha ki mai chahta hoon tum mujhe sharbate maut chaho hazrat izraeel amin ne Allah kee ijazat se unki rooh ko qabz kar liya aur unki paak jaan ko qalb me dal diya hazrat idrees Alaihis'salam ne kaha ki mujhe jannat-dozakh dekhe ka bahut shauq hai Hazraat izraeel amin ne khuda ke hukm se unko apne paron par bithakar sabsey pahle dozakh ki sair karayi fir jannat ko dikhaya hazrat idrees Alaihis'salam jab jannat ki nematon hooron aur doosri khoobsoorat cheezon ko dekh chuke to izraeel Aamin ne kaha, ab mere sath jannat se bahar chaliye aur is makan se nikaliye hazrat idrees Alaihis'salam Allah ke qanoon ko khoob jantey hee they, ped ka ek tana pakad kar khade ho gae,  farmaya ki jab tak paida karnewala jannat w dozakh ke is imhihan se mujh ko na nikalega mai hargiz bahar na jaoonga 

Allah ta'ala ne in dono'n ke qisse ke faisale ke liye ek farista bheja pahle hazrat izraeel Aamin ne poori halat batayi fir hazrat idrees Alaihis'salam ne jawab diya ki maine Nafs ke taqaze ke taur par maut ke kadwe zahreele sharbat ka maza chaha dozakh laya gaya, fir sabsey bade raheem khuda ke hukm ke mutabiq jannat me aaya ab mai isse sirf izraeel Aamin ke kahne se nikalne wala nahi haan khuda ka hukm hoga to doosri baat hai usi waqt gaib se AAWAZ aai ki hazrat idrees Alaihis'salam haq par hai fir hazrat idrees Alaihis'salam jannat se bahar Aaye aur chathe aasman par farishton ke sath ibadat me lag gae aur waha'n maujood hai Hazraat idrees Alaihis'salam bahut khubsoorat they, gehuna rang tha qad munasib tha aksar khamosh raha kartey chaltey to nazar qadmon par padti hazrat idrees Alaihis'salam ne hee farmaya hai ki nekiyon ka sar teen cheezen hai 

☆Gusse ke waqt sabr se kaam lena,

☆Tangi me bakhishsh karna, aur

☆Qaboo pane par maaf karna 

Aapne farmaya ki Aqlamand wah aadmi hai ki teen qism ke aadmiyon se halkapan na kare 

☆Badshahon se,

☆Aalimon  se,

☆Doston se 

Isle ki Badshahon ki gustakhi meethe aish ki kadwahat kee tarah hai aur Aalimon ki hiqarat  ( neechi nazar se dekhna ) se deen ka nuqsaan hai aur Doston ka halkapan be-marwwati hai jo nafrat karne kee cheez hai  "aapne farmaya ki aadmi ko chahiye ki museebat me sabr kare aur bland darja pane par narmi ka rawaya apna ye

Ref ( Qanssul Anbiya , pg  33,34 )


OPEN THIS LINK👉  Must watch Shane Ala hazrat Voice by Maulana Talib Raza


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.