Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat


SHANE ALA HAZRAT  

Ala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmed raza fazil e barailwi Razi Allah anho ki Bismillah khani 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho 13 baras 10 mahine 5 din ki umr shareef me 14 sha'aban 1286 hijri motabiq 19 Nawamber 1869 iswi ko Aalim w fazil, mufti w mohaddis ho kar farigut tahseel hue

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page: 92 )

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho Aalim w fazil , w mufti w mohaddis ban kar farigut tahseel hue usi din mas'ala raza'at se mota'alliq ek fatwa likh kar apne walid e majid ki khidmat me pesh kiya - jawab bilkul sahi tha , walid e majid ne zehan naqaad w taba'a waqaad dekh kar usi waqt se fatwa naweshi ki jaleelush shan khidmat Aap ke sopurd kar di

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page:92 )

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne taleem e tariqat Hazrat murshid e barhaq ustaad ul Aarefeen Hazrat Maulana sayyad shaah Aale Rasool ahmadi ma rahrawi Razi Allah ta'ala anho se hasil ki - murshid e barhaq ustaad ul Aarefeen Hazrat Maulana sayyad shaah Aale Rasool ahmadi ma rahrawi Razi Allah anho ke wesaal ke baad bhi baaz taleem e tariqat neez ibtedaee ilme tafseer w ibtedaee ilme Jafar wagairah ustadus salekeen abul husain Ahmad noori ma rahrawi Razi Allah anho se hasil ki - sharhe chagmini baaz hissa Hazrat Maulana Abdul ula rampuri alaihi rahma se padha phir fazle rabbani w faize nabwi ne Aap par inayat ki khususi nigha dali jis ke natije me Aap ne kisi ustaad se bagair padhe mahaz khuda daad baseerat e noorani se 59 uloom w funoon par dastaras hasil farmate aur unke sheikh w Imaam hue

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page:92 )

Maulwi Ehsaan husain Sahab bayan farmate hain ke main arbi ki ibtedaee taleem me Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ka ham sabaq Raha Hun - Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ki khuda daad zehanat ka haal ye tha ke ustaad se kabhi chauthaee kitab se ziyadah Na padha , kitab ka ek chauthaee hissa ustaad se padha Lene ke baad baqiyah puri kitab khuda se padhte aur yaad kar ke suna diya karte the

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page:96 )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.