Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat


SHANE ALA HAZRAT 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho aur ramzan ka rozah 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ke bachpane ka zamana tha , Aap ke pahle roze ke aftar ki taqreeb banaee ja Rahi thi , ramzan ul Mubarak ka moqaddas mahina tha , sakht Garmi pad Rahi thi , jis ki wajha se walid e gerami hazrat Maulana raza Ali Khan Razi Allah anho Aap ke sath ek kamre me tashreef le gai Jahan firni ke piyale rakhe hue the Hazrat Maulana raza Ali Khan Razi Allah anho ne farmaya lo kha lo ! 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne arz ki ke mera to rozah hai , kaise kha lun - walid e gerami hazrat Maulana raza Ali Khan Razi Allah anho ne farmaya : bachchon ka rozah aisa hi hota hai Maine darwazah banad kar diya hai , Koi dekhne Wala nahi hai , kisi ko Khabar Na hogi , chupke se kha lo ! Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne jawab dete hue kaha , jis ke hukm se rozah rakha Hun wah to dekh Raha hai - ye sunte hi hazrat walid e gerami hazrat Maulana raza Ali Khan Razi Allah anho ke Aankhon se Aansu chhalak pade , kamrah khol kar Bahar Aap ko le Aaye - 

Ref ( Hayaat e Aala hazrat , page :24 )

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ko jab bachpane me ma'arfat e Haq ta'ala ki ye shaan thi to jis waqt Allah ta'ala ne Aap ko mojaddid ka mansab e Aaliyah ata farmaya hoga us waqt ma'arfat e Haq ta'ala ki shaan ka Aalam kiya hoga - 

Khudi ko kar buland itna ke har tabeer se pahle 

Khuda bande se puchhe khud bata Teri raza kiya hai 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne 3 saal 6 mahina ki umr shareef me arbi me guftagu ki 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne irshad farmaya ke mai masjid ke samne khada tha , us waqt meri umr sadhe 3 saal ki hogi , ek Sahab arbi lebas pahne hue tashreef late , dekhne se maloom hota tha ke arbi hain , unhon ne mujh se arbi zaban me guftagu farmaee , Maine faseeh arbi me unse guftagu ki , phir us buzurg hasti ko kabhi Na dekha - 

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page :95 )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.