Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman


GAIB KI BATON PAR IMAN 

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ek hadeese qudasi me apne rab ka yah mubarak irshad naqal farmatey hain Aadam ka beta mujhe takleef dena chahta hai zamane ko bura-bhala kahta hai, halanki zamana ( kuch nahin wah ) to mai hee hoon mere hee hath me ( zamane ki ) tamam mamlat hain, jis tarah chahta hoon raat aur din ko gardish deta hoon

Ref ( Bukhari  )

Hazrat Aboo moosa ash'ari Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya : takleefdeh baat sunkar Allah ta'ala se zyada bardasht karne wala koie nahin hai mushrekeen uske liye beta sabit kartey Hain aur fir bhi wah Unhe aafiyat deta hai aur rozee ata karta hai

Ref ( Bukhari )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu riwayat kartey Hain ki Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya :jab Allah ta'ala ne makhlooq ko paida kiya tou lauhe mahfooz me yah likh diya "meri rahmat mere gussa se badi huie hai" yah tahreer unke samne arsh par maujood hai

Ref ( Muslim  )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se riwayat kartey Hain ki Aap ne irshad farmaya :agar momin ko us saza ka sahee ilm ho jae, jo Allah ta'ala ke yahan nafarmanon ke liye hai to uski jannat kee koie ummeed na rakhe aur agar kafir ko Allah ta'ala kee rahmat ka Sahi ilm ho jae, jo Allah ta'ala ke yahan hai, to uski jannat se koie na ummeed na ho

Ref ( Muslim )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.