Deeni maloomat
DEENI MALOOMAT
AAO DEEN PAR CHALE
Logon se doori aur tanhaee kis ke liye behtar hai
Isee liye Allah ke waliyon me se ek badi jama'at aise logon kee huie hai jinhone duniyan mein rahkar bhi duniyan walo se doori banaye rakhi is silsile mein bilkul sahi baat yah hai ki jab koie shakhs aise massab w martabe , taqat w kuwwat , Himmat w hausle , ilm w salahiyat aur qabliyat sabit qadmi aur istqamat wala ho ki logon me miljul kar rahne inme baithne uthne inke sath khane peene baatcheet karne mein apney deeni shar'ai Islami rang mein rang sakta hai ya kam az kam unka gair Islami khilafe shar'aa asar aur rang apne oopar nahin Chad ne dega tou aise ke liye qaum se doori achchi nahi balki aise shakhs ke liye tou awaam mein rahna hee achcha hai usko tanhai ikhtiyar karne aur goshanasheeni apnane kee ijazat nahi ha'n wah shakhs jo apne ilm w hausle kee kami ya iman ki kamzorI kee buniyad par logon mein miljul kar rahne se unke rang mein rang jane ka khatra mahsoos kare
Apni achchai unme chodne ke bajaye unki buraeeyan apni zindagi mein dakhil hoti huI mahsoos karta hai apni sahi baat unse manawane ke bajaye juban w dil kee kamzori kee wajah se unki galat baat maan sakta hai ya ha'n mein ha'n mila sakta hai aise ke liye logon se jitna bachkar rahe utna hee behtar hai aur bachne ka matlab sirf yah nahi ki aabadiyon se bahar jangal mein jakar rahne lage balki zyada ta'alluqat ghari yari dosti se bache Bila khas zaroorat na mulaqat kare na baatcheet yahan yah baat bhi qabile zikr hai ki kuch name nihad Islami gumrah firrqo aur bad mazhab jama'aton ke bare mein unse Mel jol na rakhne aur unka baeekat karne ka fatwa diya jata hai wah mere khayaal me unhi imaan ke kamzor be ilm awaam tak mahdood hona chahiye jo unke fareb me aa saktey hon unka asar qabool kar saktey ho'n lekin wah ahle ilm aur mazboot log jo haq par lane aur un par asar dalne kee salahiyat w Himmat aur taqat rakhte hon wah agar shar'aee hadon mein rahkar unse baatcheet kare tou shayad yah maslahat w hiqmat se qareeb hai aur Allah Az'wazal janta hai ki kisiki niyat mein islah w sachchi hai aur kisiki niyat mein fasad aur burai aur qayamat ka din bhedon ke khulne ka din hai magar main dekh raha hu'n ki aaj uska ulta ho raha hai awaam na ahil na waqif log tou ghat Mel ta'aalluqat yariyon dostiyon mein koie kotahi nahi barat rahe hai aur khawas ahale ilm bahut se imam aur maulvi log unse milne june se sirf is liye rooke hue hai ki kahi fatwe kee zad mein na aajaye aur aaj kal fatwe bhi sirf molviyon ke liye hee rah gaye hain awaam tou bilkul aazad hotey ja rahe hain
Ref ( Aao deen par chale pg 15,16,17 )
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments