Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya



HAZRAT IBRAHEEM ALAIHIS'SALAM 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ke baap ka name aazar tha us zamane mein namrud name ka kafir hukumat karta tha wah apni jata ke sath insaaf karta sakhi data jaisi uski badi khoobi thi ek zamane ke baad shaitan ke fade mein aa gaya gande vichar uske man mein baith gaye huqumat karte-karte wah khudaee ka dawedar ho gaya apne but banawakar ibadatkhanon mein rakhwa diye janta ko aardar de diya ki wah uske aage apna matha teke ek din nujoomiyon ne sitaron par Nazar karke namrood se yah arz kiya ki is saal is shahar mein ek aisa ladka paida hoga jo tere desh aur dharm ko tabah karke rakh dega namrood ne bechain hokar hukm diya ki jitne ladke bhi is jagah paida ho unhe qatl kar diya jaye 

Jab hazrat ibraheem kee maa'n ko hamal hua tou wah sabke jaan jane ke dar se wah ghar se bahar nikal khadi huie jab wah jangal mein ek sookhI nahar mein pahunchi tou ek ladke ne janm liya ladka bahut khoob-soorat tha, maa'n kee mamta jagi aur wah use see ne se lagaye idhar-udhar jane lagi nahar ke paas ek khoh tha, logon kee pahunch waha'n tak nahi ho sakti thi ladke ko ek kapde mein lapeta aur roti huyi Aankhon ke sath use chod wah ghar kee taraf chal padi apne is ladke ko dekhne ke liye wah khoh mein aatI , aur unko zinda dekhti tou aankhen dabdaba padti wah dekhti ki hazrat ibraheem Alaihis'salam ek angoothe se doodh aur ek se shahada peete hai aur asali hifazat karne wale Allah kee panah mein barabar jeetne rahe hain 

Aisi ajeeb halat ko dekh wah danton tale ungli dabal letI fir bachche ko gale lagati , doodh pilati aur roti huie ghar ko wapas aa jati is tarah jab firsat pati tou unko doodh pilakar wapas laut aatI jab kabhi unke pahunchne mein der ho jati tou hazrat ibraheem Alaihis'salam apne angoothe hee chooskar apna pet bhar letey Sach to yah hai ki maa'n ka doodh pilana tou sirf ek bahana tha, warna jisne paida kiya tha wahi unhe apni nigrani mein khila-pila raha tha hazrat ibne Abbas Razi'allahu ta'ala anhu kee riwayat hai ki hazrat ibraheem ek din mein itna badte the ki doosre ladke utna hee ek hafta mein Badh pate hain aur wah ek hate mein itna bad jate ki doosre ladke utna hee ek maheena mein Badh pate aur ek maheena mein wah itna bad jatey ki doosre ek saal mein bad pate is tarah doodh peene ki muddat bhi guzar gayi

Hazrat ibraheem Alaihis'salam mein kuch soojh-bojh paida huie to ek din raat mein unki maa'n unhein dekhne aayi hazrat ibraheem Alaihis'salam ne apni maa'n se poocha "is andhere ghar ke siwa aur bhi koie duniya hai?" "dusmanon ke dar se tumhe yaha'n chipa diya hai ' maa'n ne jawab diya aur bataya, "yaha'n par tumhe rakhne ka maqsad iske alawa aur kuch nahi hai ki tumhari jaan bachee rahe aur tumhe apni nigrani mein pala-posa ja sake wise Allah ta'ala kee banayi duniya bahut lambi-chaudi hai "  hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya  "ab to mujhe is khoh mein aaram nahi mahsoos hota, na mai apne rahne layaq is jagah ko pata hoo'n  fir hazrat ibraheem Alaihis'salam khoh se bahar nikal aaye aasman par chamakte sitare ko dekha, bole

'Yah mera Rab hai '

Lekin jab wah doob gaya tou farmaya ,  "main doobne wale ko apna Rab nahin banata"

Fir jab chamakte chand par Nazar padi aur uski chandni mein unhe maza aaya tou farmaya

"Yah mera Rab hai aur isi se mai lau lagaoonga "

Lekin jab wah bhi doob gaya tou uske Rab hone ka yaqeen bhi khatm ho gaya

Jab subah huie aur sooraj kee kirne fail gayi, tab bole

"Yahi mera khuda hai, yahi sabse bada hai! yah to is ki raushani aur Garmi se bhi zahir hai " lekin jab sooraj bhi doobne ko hua tou hazrat ibraheem Alaihis'salam fir soch mein pad gaye bole

"Alawa us khuda ke jo be-misaal aur be-zawaal hai, main kisi par yaqeenan nahi karta "

Fir hazrat ibraheem Alaihis'salam ko unki maa'n ghar layi aur tamam bate unke baap ko sunayi aazar apne bete ko dekhkar bahut Khush hua karta use is ki bhi khushi thi ki uska beta bacha hua hai jab hazrat ibraheem Alaihis'salam ne buton ko bura kahna shuroo kiya aur unke poojne walon par lanat bhejni shuru kee tou namrood ne hazrat ibraheem Alaihis'salam ko bulaya hazrat ibraheem Alaihis'salam nidar hokar gae aur qayade ke mutabiq namrood ko sajda nahin kiya namrood ne bahut gusse se kaha, "toone mujhko sajda kiyon nahi kiya ?

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne kaha, "main parwardigar ke siwa kisi ko sajda nahi karta"

Namrood ne kaha, "tera parwardigar kaun hai aur kiya karta hai?"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne jawab diya, "wah sabko paida karnewala hai wahi marta hai aur wahi jilata hai"

Namrood ne kaha, "main bhi maar aur jila sakta hoon isliye in sab ka parwardigar hoon" usne do 2 aise qaidionko bulwaya ,  jinhe saza mein qatl karna tha unme se ek qaidi ko usne marwa diya aur ek ko aazad kar diya fir usne kaha, "hamne bhi ek ko jilaya aur ek ko mara ham hai parwardigar aur yahi hai kaam hamara"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne kaha, "mera parwardigar suraj ko poorab se nikalta hai agar too sachcha hai to pashchim kee taraf se nikal"

Namrood aur uske sathi is jawab se chup aur hairaan rah gae bahut -se log is mamle ko dekhkar musalman hue

Ek din hazrat ibraheem Alaihis'salam ne aazar se poocha, "ae baap, yah kaisi moorate hai jinki tum pooja karte ho aur raat-din jinke aage tum sajde karte ho ?"

Aazar ne kaha, "ye hamare khuda hai"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya ,  "kiya tum unki pooja karte ho jinke na kaan hai, na aankhen aur jo na tumko fayada pahuncha saktey hai, na nuqsaan "

Aazar ne lajawab hokar kaha, "agar too hamare khudaon ko nahin manega to saza paega aur tujh par patthar barsae jayenge" iske baad hazrat ibraheem Alaihis'salam ne yah pakka irada kar liya ki wah logon ko bata denge ki buton ko logon ke achche-bure kee kuch khabar nahin aur unke poojne mein kisi ko kuch fayada nahi

Namrood kee qaum kee aadat thi ki jab EID ka din aata tou har aadmi achcha libas pahanta tha aur umda-umda khane paka kar buton ke samne rakhkar eidgah jate they aur udhar se fir kar is khane ko agle saal tak ke liye zyada rozee hone ka sawab jante the jab EID ka din aaya tou sab ne hazrat ibraheem Alaihis'salam ko sath chal ne ko kaha hazrat ibraheem Alaihis'salam ne sitaron kee taraf dekhkar kaha, "main bimari hoon isliye tumhare sath nahin chal sakta , aur dil mein kaha,  tumhare buton se fareb karoonga aur unki be izzati karoonga"

Jab sab log tahkhana khali karke eidgah pahunche , hazrat ibraheem Alaihis'salam bhi eka ek pahunche aur buton se mazaq mein kaha, "aisa achcha khana tumne kiyon nahin khayaal ?"

We but bhala kiya bolte aur kiya jawab dete fir tou khuda ke dost ibraheem Alaihis'salam ne kulhari lekar sabke sar uda diye , kisi ke hath Kate aur kisi ka kaan, magar bade but ko bachakar kulhari usi ke gale mein DAAL dee aur butkhane ka darwaza band karke bahut jald waha'n se nikal gae log jab eidgah se lautkar tahkhane mein dakhil hue aur sabhi chote-bade purane dastoor ke mutabiq waha'n pahunche tou dekhte kiya hai ki na kisi ka hath hai, na kisi ka kaan badi zillat kee halat mein pade hai, bilkul murad uske munh se nikala, "kis zalimon ka yah sab kiya-dhara hai, aur kis ne hamare maboodon ke sar tod kar hame dil taqleef pahunchai hai?"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam hamesha buton aur butparaston par chot kiya karte the aur unke shirk aur be'imani ko bura kaha kartey the sabko yaqeen ho gaya ki yah sab hazrat ibraheem Alaihis'salam ne hee kiya hai sabko gussa aaya aur wah unka qatl karne ke liye taiyaar ho gae pooriqaum ek raah hokar namrood ke paas ahunchi aur fariyad kee ki ibraheem Alaihis'salam ne tahkhane kee hurmat ko barbad kar diya

Namrood ne hazrat ibraheem Alaihis'salam ko bulaylne ke liye aadmi bheja aur bahut gazab aur gusse se apne paas bulwaya  namrood aur poori qaum ne kaha, "ae ibraheem !  maboodon ke sath yah bartav kis ne kiya hai?"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne kaha, "bade but ne tum izzat wale bade but se pooche wah tumhe chip nahi paye ga wahi tou tumhara bada mabood hai, kiya itna bhi pata na dega

Mushrik is baat ko sun kar lajawab ho ge aur unhe badi sharmindagi huie ibraheem Alaihis'salam ne kaha, "tum tou jante ho ki yah but hargiz nahi bolte yah achcha aur bura apne munh se kuch nahi kahte" hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya aise maboodon kee pooja se kiya milta hai in bezoobanon ko pooje wah tou bada hee jahil hai, isse bahut-se log musalman hue bahut -se log iman laye namrood ne yah mamla dekha tou hukm diya ki ibraheem Alaihis'salam ko qaid kiya jae kafiron ne kaha ki ibraheem Alaihis'salam ko Aag mein jalao, isi tarah se hamara gussa thanda ho sakta hai

Koh ke daman mein ek Sao 108 gaz makan banaya mulk kee ladkiyon ko jama karke usme aag lagaee aag ke shole itne buland hue ki oopar se parinde bhi udne kee Himmat na kar sakte the aur na koie aadmi uske nazdeek ja sakta tha ki hazrat ibraheem Alaihis'salam ko Aag mein le jakar dale fir sab kafir hairaan hue aur unko aag mein dalne kee tadbeere sochne lage shaitaan ne sujhaya ki ek falaakhan banao aur do-teen khanbe khade karo, jhoole ki tarah jhulakar ibraheem Alaihis'salam ko Aag mein DAAL do aur is tarah apne aarman poor karo

Jab hazrat ibraheem Alaihis'salam ko tauq aur janzeer mein badhkar falaakhan par bithaya gaya tou aasman aur zameen ke farishton ne ro-rokar fariyad kee ki khudawand , tere khaleel ke sath yah kaisa mamla karte hai ham is zulm ko dekhkar bahut rajeeda hai hame ijazat ho tou unhe ham abhi chuda le aur is tarah tera dosta dushmanon se Bach jae  hukm hua ki agar ibraheem Alaihis'salam tum se madad chahe to bahut behtar hai, tum jakar uska sath do , do 2 farishte jo hawa aur pani par muqarrar they, hazrat ibraheem Alaihis'salam ke paas aae aur kaha ki agar aap hukm de tou hawa aur pani is aag ko pal bhar mein boojha de lekin hazrat ibraheem Alaihis'salam ne qabool nahi kiya, unki halat dekhkar farishte bahut ranjeeda hue jab hazrat ibraheem Alaihis'salam falaakhan se bahar hue , jibraeel Ameen fauran fiza se hazir hue aur kaha , "kuch zaroorat ho tou kaho, main is aag se in kafiron ko jala sakta hoon aur tumhe in shole se bacha loonga"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne kaha , mujhe tumse kuch kaam nahin jo khuda kee marzee hai wah poori hokar rahegI" jibraeel alaihis salam ne kaha,  "fir khuda hee se sawal karo aur apni museebat usse bayaan karo " hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya ki wah khuda janta hai, mere kahne se kiya hasil is tarah jab khuda-e-beniyaaz ne dekha ki ibraheem Alaihis'salam tawakkul kee raah me qayam hai tou farmaya :

"TARJAMA : Ae aag , too ibraheem ke liye thandi ho ja aur salamati ban ja"

Hazrat ibne Abbas Razi'allahu ta'ala anhu se naqal hai ki kalame ilahi mein lafz "salam" na hota tou mare thandak ke ibraheem Alaihis'salam ko chain na milta farishton ne hazrat ibraheem Alaihis'salam ka bazoo pakadkar nihayat aaram se zameen par bithaya hee tha ki usee waqt bahisht ke rizwan ne thadhdar kapde lakar pahanae aur unke aapas bees-bees gaz tak fool , sabze kaliyon aur khushboo dar foolon se ajeeb baag bana diya ek meetha sota bhi waha'n jari ho gaya hazrat ibraheem Alaihis'salam par khuda ka bada fazl hua ki lazeez khana subah-sham pahunchaya kare, taki mera pyar khushi aur befikri ke sath khae

Jab saat roz is tarah guzar gae tou namroodion ne chaha ki dekhe ki Aag bujhi hai ya nahin namrood bhi ek oonche mahal par chadkar hamesha dekhta rahta tha use dar tha ki kahin ibraheem Alaihis'salam zinda na rah jae isliye ki agar wah sahee-salamat aaega to mujh par aur mulk par badi hee afat laega jab kabhi wah apne dil kee baat ki baat apne musahibon ke samne kahta tou fir harek kee tasalli ke liye sath hee yah bhi kah deta ki insaan kiya hai ki jakar raakh na ho jae, is aag mein tou agar sangkhara bhi daal diya jaye tou wah bhi pighalkar bah jayega

Ek din namrood ne bahut gaur se apne mahal se dekha ibraheem Alaihis'salam ke charon taraf to gulo-rehan hai aur aag kee lapaton kee bajaye baag dikhaee deta hai aur meethe pani ka sota bah raha hai aur har dam waha'n aisho-aram hee hai, to wah bahut hairan aur pareshan hua bola, "Ae ibraheem Alaihis'salam too aisi tez aag se kis tarah Bach saka ?

Aur yah baag aur nemat kis ne faraham kie hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya "yah tou bemisal khuda kee qudrat ka chota-sa karishma hai uska fazl aur inayat ho tou aisa kaam namumkin nahin" Namrood bola "jiski qudrat kee yah adna nishani hai, wah Sach mein bada parwardigar hai" hazrat ibraheem Alaihis'salam raakh ke pahadon se nikal kar Bahar tashreef lae aur nae sire se namrood ko naseehat karne lage namrood ne thode din kee muhlat mangi aur mamle par sochne ka wada kiya usne haman se jo uska wazeer tha salah lee aur iman lane ka irada zahir kiya

Us maloon hamaan ne kaha, "itne zamane tha tou aapne khudai kee, ab bandagi ikhtiyar karenge aur duniya bhar mein apne ko rooswa karenge" Jab hazrat ibraheem Alaihis'salam ne muhlat guzar jane ke baad iman lane kee maang kee tou namrood ne nihayat chaploosi aur narmi se kaha, iman lane tou mere lie bahut mushkil hai, magar ha'n tere parwardigar ke liye ek badi qurbani dene ke liye main taiyar hoon hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya ,  "bagair iman ke koie qurbani khuda ke darbar mein qabool nahi hoti namrood ne char hazar gaye aur bahut see bakariyon aur oonton ko ek bade maidan mein qurbani kiya, lekin hamaan kee shaitani kee wajah se uska thikana dozakh hua.

Namrood kee tabahee 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne namrood se kaha ki too bure kaam chod de aur pasheman hokar khuda ke aage aajaye khuda-e-ta'ala ne Tujhe 400 Sao saal se badshahat de rakhi hai aur isi tarah usne mujhe aise mojaze die jo deen haq par gawah hain aur too hai ki ab tak apne kufr se baaz na aaya aur apni nadani aur hathdharmi se khudaee ka dawa kie chala ja raha hai jaan le yah khuda ka lashkar itna zyada hai ki andaza nahin kar saktey aur Tujhe to gaarat karne ke liye ek adna lashkar kafi hai namrood ne kaha main nahi samajhta ki zameen par mere siwa koie dosra badshah hai aur meri bargah ke siwa koie doosri bargah hai agar aasmani badshah kee fauj hai tou usse kaho ki wah mujh par bheje aur fir meri ladaee aur taqat ka tamanna dekhe

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne dua kee

Hazrat Jibraeel alaihis salam nazil hue aur kaha ki namrood se kaho ki hamari fauz aa pahunchi too taiyar ho ja aur apni fauz lekar maidan mein jang kar teen roz kee muhlat me namrood kee fauz bula lee gaee ek maidan mein sab jama hue chauthe roz namrood kee fauz ke muqable mein tanha hazrat ibraheem samne aae unhe akela dekhkar logon ne kaha, ibraheem Alaihis'salam ,  wah fauje aasmani kaha'n hai? 

Ab tujh par afat aane mein kuch bhi der nahin" abhi batchit ho hee rahee thi ki eka ek machcharon kee fauz zahir huie jiski wajah se sooraj kee raushani chip-si gaee namrood ghabra gaya lashkar par bhi hairat tarike ho gaee namrood ne hukm diya, 'naqqar baja kar machcharon ko Bhagat de jab machcharon kee aawaz kanon mein Aaee logon ke host gum ho gae tamam fauz ghabra gaee ek goonj thi, ek short jo ubhara aa raha tha chota tha ya bada harek hairate-ilahi se dar gaya ek-ek aadmi par lakhon machcharon pilana pade machchar kiya the ek kali bala thi jo sar se pawn tak chimat rahi thi logon ke badan par gosht aur khoon tak nahin chod rahi thi hazaro aadmi aur janwar tabah hue namrood apney mahal mein bhag-bhag kar auraton mein ja chipa itne mein ek lagda machchar aaya jise namrood ne apni auraton ko dikhaya bhi machchar tezi se nak kee raah se namrood ke dimag tak ja pahuncha aur apni soond ko uske bheje mein chubha diya Namrood ka sona aur aaram karna sab rookhsat ho gaya wah din-raat apna sar peetta rahta, jab tak log uske sar ko kootte kuch dard mein kami mahsoos hoti aur bagair kootte chain mila jo bhi uski majlis mein aata tou zameenbosi ke badle uske sar par dhaul lagata is tarah namrood ko khuda ke gazab ne jakad liya

Chalees 40 din ke baad wah isi dard kee wajah se halak hua iske baad hazrat ibraheem Alaihis'salam ne khuda ke hukm se mulk sham kee taraf hijri kee logon kee nafarmani kee wajah se unhe yah hijri karne padi misr mein unhone hazrat sara ko apne sath liya logon ne misr ke hakim ko Khabar dee ki hazrat sara bahut haseen w jame El hain aur apne Husn w jamal mein yakta aur bemisal hai misr ke badshah ne hazrat ibraheem Alaihis'salam se poocha ki main aurat ko hasil Karna Chahta hoon tera is aurat se kiya Rishta hai hazrat ibraheem Alaihis'salam ne soch ki agar main kahta hoon ki yah meri Biwi hai tou wah mujhe marna chahe ga isliye hazrat ibraheem Alaihis'salam ne farmaya ,  yah meri bahan hai ( deen ke Rishte se ) is tarah unki jaan bachee jab us mardood ne hazrat sara ko apne samne bulaya tou unhe dekhte hee uske host gum ho gaye us be-adab ne unki taraf hath badan chaha 

To hazrat sara kee dua se uske dono'n hath shall ho gaye aur dard kee wajah se uska sara jism be kal ho gaya usne kaha,  "Ae aurat mujh par yah kiya jadoo kar diya hazrat sara ne farmaya ,  teri badneeyati kee wajah se khuda ne Tujhe saza dee hai?" 

Us maloon ne kaha "agar mai teri dua se tanduroost ho gaya to hargiz tujh par badneeyati se hat na daloonga  hazrat sara ne khuda kee bargah mein dua kee khuda ne usko achcha kar diya,  lekin uski neeyat fir kharab ho gaee khuda ne uske dono'n hath apahij kar diya wah badi minat se gidgidane laga hazrat sara kee dua se uski takleef door huie namrood kee neeyat teen baar kharab huie aur uske hath shaly hue magar hazrat sara kee dua se usko tanduroosti hasil huie akhir mein sachche dil se wah buraee se dastbardar ho gaya aur hajar nami khataon ko nazr kiya yahi hazrat hajar hain jinke hazrat ismaeel Alaihis'salam paida hue waha'n se hazrat ibraheem Alaihis'salam ne mulk sham ka irada kiya aur falisteen mein damishk ke ilaqe mein qiyam farmaya ...

Ref ( Qanssul Anbiya, Page,  48,49,50,51,52,53,54,55,56,57,58,59 )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  



No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.