Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi


ZIKR E NABI 

Huzoor   Ke Maa-Baap Momin Aur jannati hain


Allah ta'ala irshad faramata hai 

وَتَقَلُّبَکَ فِی السّٰجِدِ ین

Tarjamah : Aur namaziyo me tumhare daure ko

Ref ( Para 19, Ruku 15 (Kanzul Iman) ) 

Azimush shaan ashique rasool hazrat imam jalaluddin rahamatullah alaih is aayat-e-karima ki tafasir me farmate hai ki bayan kiya gaya hai uska mana ye hai

کَانَ یَنقُلُ نُورُہٗ مِن سَاجِدِِ اِیٰ وَبِھٰذاَ التَّقدِیرِرفَالاٰیَۃُ وَاِنَّہٗ عَلیٰ اَنَّ جَمِیعَ اٰبَآ ءِ مُحَِمَّدِِ صَلَّی اللہُ عَلیہِ وَسَلَّمَ کَانُوا مُسلِمِینَ

Tarzumah : Huzoor ﷺ ka noor-e-pak ek sajid musalman dusre sajid musalman ki taraf muntakil hota raha. Is taqdeer par ye aayte karima us par dalil hai huzoor ﷺ ke tamam aaba keram musalman the.

Ref ( Alahavilil fatawa, Zilad, 2 Page, 413)


Aur is aayate karima yani  

وَتَقَلُّبَکَ فِی السّٰجِدِ ین

Ke tehat Hazrat alama imam jalaluddin rahamatullah ta'ala alaih tahreer farmate hai ki (1) Hazrat mauala ali shere khuda raza allahu ta'ala anho ne farmaya ke ruye zameen me kam se kam saat muslaman jarur rahte hai. warna zameen aur ahale zameen sab halak ho jaye.


Ref ( Alhavilil Fatawa, Zilad, 2 , Page, 416, Zarkani Alal Mawahib, Zilad, 1, Page,  204)


(2) Aur hazrat abdullah bin abbas razi allaho ta'ala anho farmate hai, hazrat nuh alaihis salam ke baad kabhi bhi zameen saat Allah walo se khali nahi huyi. Jiske sabab se zameen wale ajab se mehfooz rahte ha.


Ref ( Alhavilil Fatawa, Zilad, 2 , Page, 416, Zarkani Alal Mawahib, Zilad, 1, Page,  204)


Hazrat ! alama imam jalaluddin razi allahu ta'ala anho ye sabit karna aur batana chahate hai ki us zamane ke musalaman aur Allah wale huzoor ﷺ ke maa-baap the hazrat imam jalaluddin razi allahu ta'ala anho naqal farmate hai ke hazrat maula ali razi allahu ta'ala anho se rewayat hai ke hazrat jiberail alaish salam ne huzoor sarapa noor ﷺ  se arz kiya

اِنَّ اللہَ یُقرِءُکَ السَّلاَمَ وَیَقُولُ اِنِّی حَرَّمتُ النارَ عَلی صُلبِِ اَنزَ لَکَ وَبَطنِِ حَمَلَکَ وَحُجَرِِ کَفَلَکَ 

Tarzumah : Yani Allah ta'ala, ae mehboob ! ﷺ aapko salam farmata hai aur farmata hai ke maine us salab par jisme tum rahe ho aur us pet par jisne tumhe uthaya us god par jisne tumhe khelaya nar-e-dujakh ko haram kar diya. ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-barailvi razi allahu ta'ala anho naqal farmate hai ke rasool allah ﷺ ne farmaya ke yani main hu mohammad bin abdullah bin abdul muttalib bin haashim yuhi 21 pusat tak nashab nama mubarak bayan kar ke farmaya ke main apne maa-baap se aisa paida hua ke zamanaye jaheliyat ki koi baat mujh tak na pahunchi aur main khalish nikah-e-sahih se paida hua, aadam alaihis salam se lekar apne walidain tak to meri zaat-e-karim tum sab se afzal

فَاَنَاجَیرُکُم نَسَباََ وَ خَیرُکُم اَباََ

Yani mere baap tum sab ke aaba se behtar.


Ref (Dalal-e-lun nabuwat, Zilad, 1, Page, 174, Bahwala Shamulul islam, Page, 18, 19)


Ala hazrat imam ahmad raza fazil-e-barialvi razia allaho ta'ala anho hadish-e-pak naqal farmate hai jis ka khulasha ye hai ki Allah ta'ala ki bargah me hamare huzoor ﷺ ke tamam aaba izzat w buzurgi wale aur tamam ma'aye pakizah aur tahira hai. Aur aayate karima

وَتَقَلُّبَکَ فِی السّٰجِدِ ین


 Ki bhi ek tafshir yahi hai ki nabi ﷺ  ka noor ek sajid se dusre sajid ki taraf muntakil hota aaya to ab isse saaf sabit ki huzoor ﷺ ke maa, baap hazrat aamina tayibah aur hazrat abdullah razi allaho ta'ala anhuma zannati hai ye dono aise hai jinko Allah ta'ala apne mahboob ﷺ ke liye chuna tha hadeesh sareef ki tasri hai ki Allah ta'ala ne walidain karimayain razi allaho ta'ala anhuma ko huzoor-e-akdus ﷺ ke liye jinda farmaya yaha tak ke wo ho huzoor par iman laye.

Ref ( Sumulul Islam, Page, 23, 24)



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen

<div class="g-ytsubscribe" data-channelid="UCCPshgWBwdV_3T1vDHKh0Qw" data-count="default" data-layout="full">
</div>

</div>

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.