Deeni maloomat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Deeni maloomat

DEENI MALOOMAT 

AAO DEEN PAR CHALE

Ae logon tumne deen kiyon choda ???

Yah ek sawal hai jiska jawab aapse baroz e Qayamat talab kiya jayega bajaye hamare batane ke aap khud hee Akeley mein baith kar is sawal ke jawab par gair kare aakhir mazhabe islam mein wah kaun-kaun see batey hai jis par aap amal nahin kar saktey aur kiyon nahi kar sakte aapki raah mein kiya mushkilat aur dushwariyan haeel hai unko door Karne kee kiya soorat hai in sawalaat ke jawab aapke paas kiya hai aap khud apne se poochiye aur khud jawab deejie kahin aisa na ho ki marne ke baad hee sochna naseeb ho 

Sahi baat yah hai ki islam ne aapko duniya ke har aish wa aaram aur tafreeh se roka tou nahi hai bas ek dayara aur had mut'ayyan kar dee hai iske andar rahkar aap duniyavi zindagi se bhi luft andoz ho saktey hain iske bawajood aapne deen chod diya har cheez kee ek had zaroori hoti hai khushyon armanon aur hasraton kee bhi ek had honi chahiye ki nahin? kahi aisa tou nahi ki aap had se zyada arman poore karne hasraton ko mitane aur aish-o-aram uthane mein lag gaye is liye aap islam se door bhag rahe hain tou aapko maloom hona chahiye ki jo har khushi har aish aur har aaram ke talabgar hotey hain unhe kuch bhi nahi milta balki ranj w taklif gam wa pareshaniyonka samana karna pata hai aur had se zyada hansne ka nateeza rona hota hai ab tum jo kar saktey ho karon lekin yaad rakho tum duniya ko jannat nahi bana sakoge dekhte nahin ho jab se duniya mein bazahir aasaniyan badi hai 

Tou pareshsniyan bhi badi hai ilaaj taraqki kar gaye hain tou bimariyan bhi zyada ho gaee hain zray w wasail agar bade hain tou aram taliyan aur aish parasti bhi bad gaee hain had se zyada aaram pareshani ban jata hai har waqt bistar par lete rahna gam wa ranj mein badal jata hai Allah ta'ala ne jisko jitna banaya hai wah utna hee hai aur utna hee rahega insaan jo duniya ko jannat banane kee koshish mein laga hai wah kabhi bana nahi sakega tou duniya me jo kuch thoda bahut aaram o sukoon Allah apne karam se ata farmaya wah uthao aur jannat kee taiyari mein lag jaon wah hee ek aisi jannat hai jahan koie na ranj hoga na gam na dukh na dard na beemari na pareshani na fikr na koie uljhan....

Jo ho sake wah tou karo

Mai apni tahreer ke zariye aap ko yah dawat nahin de raha hoon ki aap mukammal Allah wale bahut bade wali ya kutab ban jaye main tou sirf yah kah raha hoon ki aapse jo ho sake wah tou karo aap ne deen ko ek dam chod rakha hai aap yah sochte hee nahin ki hame bhi deen par chalna hai aapne ek dam yah poochna hee chod diya ki islam mein kiya accha hai kiya bura kiya jaiz hai aur kiya najaiz kiya halal hai aur kiya Haraam bhaeeyon w meri bahno jo ho sake wah tou karo aur baki ke liye Allah se rahmat w bakhshish ma'aafi aur magfirat kee ummeed rakho beshak wah parwardigar bahut bakhshne wala nihayat meharban hai...

Ref ( Aao deen par chale pg , 49,50 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen






No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.