Hazrat Khadija Radi allahu Anha - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Hazrat Khadija Radi allahu Anha

HAYAT E TAYYABA HAZRATE KHADIJA RADIALLAHU ANHA


Ummul-Momineen Hazrat Khadija RadiAllahu Anha

 Part:-01
Azwaje mutahharat  ( Pak Biwiyon ) mein se sabse pahli Huzoor ki Biwi Ummul-Momineen Hazrat Khadija hain ummul-Momineen Hazrat Khadija bewa thi'n aur madar w tajira thi'n daulat w sarwat k alawa Husn w soorat w Husn seerat mein bhi wah mumtaz darja rakhti thi'n aur tahira k laqab se mashoor thi'n un dinon kuraish k Tijarati ta'alluqat sham se zyada they aur Hazrat Khadeeja ka maal kasrat se waha'n farokht hota tha chunanche Hazrat Khadeeja logon ko mulazim rakhti thi'n aur unke zarie apna karobar chalati thi'n khuda ne roopaya paisa kasrat se diya tha magar py dar pay sadmon kee wajh tabee'at duniya se sair ho chuki thi'n 

Huzoor Sallallahu alaihi Wasallam kee umr shareef 25 saal kee huie us waqt Aap ke paqeeza akhlaq aur satooda sifat ( Acchi Khoobiyon ) ka kafi Shohar ho chuka tha Arab k har gosh mein aap Ameen k laqab se yaad kie jatey they Hazrat Khadeeja jinki Aqeedat Nawaz Aankhein pahle hee aise farde Muqaddas kee justajoo  ( khoj ) mein thi'n bade ishtiyaq se aapki pazeeraee k lie aamada huie aur Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee khidmat mein paigam bheja ki agar aap mera male tijarat Shaam tak le jaya kare tou main apna Gulam Maisra aapke sath kar doon aur jitna mu'aawaza aur logon ko deti hoon usse do guna aapko diya karoongi udhar Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko apne sarparast chaha Abu-Talib k zai'a se Khadeeja kee tijarat ka haal maloom ho chuka tha isliye aapne Bila taklluf Manzoor farma liya aur ashiya-e-tijarat ( Tijarat ka maal ) lekar basra ka Rukh kiya ittifaq kee baat aap jitna maal le gae they wah sab farokht ho gaya

Aur Makka mein aakar jab nafa ka hisaab kiya gaya tou jitna pahle hua karta tha usse do guna tha Hazrat Khadeeja Bahut Khush huie aur jitna arqam aapke liye namzad kee thi usse do guna nazar kee  is Dauraan Hazrat Khadeeja ko Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k kafee halat maloom ho chuke they aur aapki nigahon mein Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam kee izzat badi jati thi chunanche unhone apni ek saheli nafeesa payambar bana kar Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko pyame Nikah bheja Hazrat Khadeeja k baap ka inteqal ho chuka tha isliye unke Chacha amr ibne asad unke sarparast they aakhirkar Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k Chacha Abu-Talib aur khandan k sabhi bade log Hazrat Khadeeja k ghar par jama hue Abu-Talib ne Nikah ka khutba padha aur aur 500 Dirham Tilaee Mahar Qaraar paya aur Hazrat Khadeeja Huzoor k Nikah mein aa gaee us waqt Huzoor kee umr shareef 25 saal aur Khadeeja RadiAllahu Anha kee umr 40 saal kee thi 

Ref ( Tabqaat Ibe Sa'ad Safah. 9 jild 1 Saba safah 529 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.