Hazrat Khadija Radi Allahu Anha
HAYAT E TAYYABA HAZRATE KHADIJA RADIALLAHU ANHA
Ummul-Momineen Hazrat Khadija RadiAllahu Anha
Huzur Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Ki Azwaje Mutahharat
Ae Nabi kee Beewiyo! tum aur Auraton kee tarah nahi'n ho.
Ref ( Para 22, Ayat : 1 )
Part:-02
Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha ka esaar
Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha ka Nikah jab Huzoor rahmate Aalam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se ho gaya tou hasid log angaron par lautne lage aur Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha ke muta'alliq bade nazeba Alfaaz kahne lage aur kahne lage Muhammad jo ek muflis aur gareeb aadmi hai Khadeeja RadiAllahuAnha ne itni badi maldar ho kar usse Nikah kar liya Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha ne jab yah ta'an suna tou unhe Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k bare mein aise Alfaz sunkar badi gaurat Aaee ki log aapko muflis kahte hai aapne tamam ameeron ko bulakar unhein gawah kiya ki main jis qadr maal kee malik hoon sab maine Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko de diya ab mere aur mere sare maal k malik wah hain ab agar muflis hoon tou main hoon aur yah Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ka karam hoga agar wah meri muflisi par raazi ho jaaen
Hazireene Majlis yah baat sunkar bade hairaan hue aur ab hasid Yoon kahne lage ki Muhammad sabse zyada maldar ho gaya aur Khadeeja muflis ho gaee Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha ne yah baat suni tou aapko bahut bhali maloom huee aur is aar ko apne lie fakhr kee baat samjha Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha k is esaar par bade khush hue aur dil mein socha ki Khadeeja RadiAllahu Anha k is esaar ka main use kya sila doon itne mein Jibraeel Aameen Alaihis'salam aae aur arz kya Ya Rasoolullah! Allah ta'ala farmata hai ki Khadeeja RadiAllahu Anha k esaar ka sila hamare zimma hai
Huzur iska sila hamesha intizaar karte rahe ki dekhiye is esaar ka sila kab Huzoor mein aata hai chunanche Shab e Meraj jab aap Jannat mein gae tou waha'n ek azeemushshan mahal dekha jisme intihae basr tak wah nematen maujood thi'n jinhe na kisi Aankh ne dekha na kisi kaan ne suna aapne Jibraeel Aameen se daryaft kiya ki yah mahal kis k liye hai Arz kiya Khadeeja k liye Huzoor ne Khadeeja RadiAllahu Anha se farmaya Mubarak ho khuda ne tumhare lie sila mein badi behtareen cheez taiyaar kee hai.
Ref ( Nuzhatul-Majlis Bab Manaqib e Ummahatul-Momineen Safah.140 jild 2 )
BASAQ
Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko muflis aur yah kahna ki jiska naam Muhammad hai kisi cheez ka mukhtar nahin hasidon ka shewa hai chunanche Quran pak khud farmata hai ام یحسدون الناس علی ما اناھم الله من فضلہ
Ref ( Para 5 Ayat . 5 )
Ref ( Para 5 Ayat . 5 )
Ya logon se hasad karte hain us par jo Allah ne unhein apne fazl se diya Allah ne is aayat e kareema mein un maloonon ka zikr farmaya hai jo Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee izzat w azmat aur har qism kee nemat ko dekhkar Huzoor se hasad kiya karte the Maloom hua ki Huzoor k pas sab kuch tha aur isi baat par kafir hasad karte the Allama qatalani shareh Bukhari Alaihirrahma : likhte hai.
لم یکن النبی صلی الله تعالیٰ علیہ وسلم فقیرا من المال قط ولا حالہ حال الفقیر بل کان اغنی الناس
Ref ( Mawahibud-Duniya Safa 372. jild 1 )
Yani Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Hargiz faqeer na they na maal kee roo se na haal kee roo se balki sare logon se zyada gani w ameer they gaur farmaie khuda ta'ala jise farmae ki
Khuda ne tumhe hajatmand paya aur gani kar diya" farmaie jise koie duniya ka badshah gani kar de usko sab kuch mil jata hai aur jise khuda gani kar de uske paas kuch na ho?
Apna iman yah rakhie jo ala Hazrat ne farmaya hai ki-
Malike kaunen hain go paas kuch rakhte nahi'n
Do Jaha’n Kee nematein hain unke khali hath mein
Al-garz Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam beizne khuda-khuda k sare khazanon k malik hain yah hasidon ka aqeeda hai ki aapke paas kuch nahin . ummul-Momineen Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha jo sab mominon kee maa'n hain unhone na sirf apne sare maal ka balki apni jaan ka bhi Huzoor ko malik samajha aur yah unki tawazu thi ki Malike kaunen k Nikah mein aakar apne aapko muflis kaha Hazrat Khadeeja RadiAllahu Anha se zyada khushbakht ameer aur azmat w daulat ka malik kaun ho sakta hai jiske khud Huzoor ho gae.
Jis k Huzoor ho Gae uska Zamana ho Gaya
Maloom hua ki saccha musalman aur ummul-Momineen ka saccha beta wah hai jo apna tan man dhan sab Huzoor par nichawar kar de aur Huzur ko apni jaan w maal ka malik samjhe buzurgon ne tou yaha'n tak likha hai ki
من لم یر نفسہ فی ملکہ لم یدق حلاوة الایمان
Jisne apni jaan ka Huzoor ko malik nahin samjha usne iman kee halawat hee nahi'n chakhi"
Aur aaj kal tou Huzoor ko malik kahna hee baaz log shirk batate hain magar sach baat wah hai jo Ala Hazrat ne likhi hai ki-
Main Tou Malik Hee Kahoonga Ki Ho Malik K Habeeb
Yani Mahboob W Muhib Mein Nahin Mera Tera
Yah bhi maloom hua ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam aapke mahboobon aur aapki majalis par kharch karna jannat mein apne lie mahal banana hai magar baaz aise badnaseeb bhi hain jo Yoon kahtey hain
لا تنفقوا علے من عند رسول الله حتی تنفضوا
Ki un par kharch na karo jo Rasoolullah k paas hain yahan tak ki wah pareshan ho jaen "
Ref ( Para 28 ayat 13 )
Yani yah log wah hain jo Huzoor kee zate paak par tou kya unke paas walon aur unki taraf Mansoob mahafilon par bhi kharch karne se rokte hain aur yah Aayat Surah Munafikoon mein hai jismein munafiqon hee ka Kirdaar byaan kiya gaya hai musalman ka Kirdaar yah hai ki-
Muhammad hai Matae Aalame ejaad se pyar!
Pidar, Madar, Barabar jaan w Maal Aulaad se pyar.
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments