SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-09

Ilm E Deen 


Hazrat Kutabul-Aqtab Razi'allahu ta'ala anhu ne jab dekha ki 

(1)Ilm e deen hasil Karna har ek Musalman par sirf zaroori hee nahin balki roohani beemariyon k lie shifae kulli hai
(2)ilm e deen parhezgari ka ek seedha rasta hai aur uski hujjat aur wazeh Daleel hai neez bahut bada darja hai
(3)ilm e deen yaqeen k tamam tareeqon mein sabse aala aur ansab hai 
(4)Nek logon ka maya-e-fakh naz aur Sanad hai 

Tou aapne uske husool k lie badi jaddo jahad kee aur door w nazdeek k ulmae kiram, mashaikhe izaam, fuqhae izaam se badi koshish se hasil kiya..

Ref ( Qalaidul-jawahir Safa 4, Az Allama Muhammad Bin Yahiya Ajami  Alaihirrahma Matboo'aa Misr )

Aapke Asatiz-e-kiram 

Quran e pak tou aapne pahle hee Hifz kar liya tha uske baad aapne ilm e fiqh arsa daraz tak bahut bade fuqha maslan Abul-wafa Ali bin Aqeel Al-Hanbal, Abul-Khattab  Mahfooz Al-kalozaani Al-Hanbal, Abul-Hasan Muhammad Bin qazi Abu Ya'ala Muhammad Bin Al-husain bin Muhammad Al-fara Al-Hanbali aur qazi Abu Saeed se hasil farmaya

Ilme Hadees Shareef bade muhaddeseen Muhammad Bin Al-Hasan Al-Baqalaee , Abu Sa'ad Muhammad Bin Abdul-kareem bin Hasheesha ,  Abul-kaim Muhammad Bin Muhammad Ali bin maimoon Al-farsi , Abu Bakar Ahmed Bin Al-Muzaffar , Abu JAfar bin Ahmad Bin Al-Husain Al-qari , Assiraj ,  Abul-qasim  Ali Bin Ahmad Bin banan Al-karkhi ,  Abu Talib Abdul-qadir bin muhammad bin Yoosuf Abdur’Rahman Bin Ahmed , Abul-barkat Hibatullah ibnul-mubarak, Abul-Azz Muhammad Bin al-mukhtar Abi asr muhammad ,  Abu Galib Ahmed ,  Abu Abdullah Yahiya , Abul-hasan bin Al-mubarak bin Attuyoori ,  Abu mansoor Abdur’Rahman Al-qaza,  Abul-barkat talhatul -aakooli w gairahum Alaihirrahma se hasil farmaya 

Ilm e Adab : Aapne Shaikh Abu Yakoob Yoosuf Bin Ayyoob Al-Hamdani Alaihirrahma se hasil farmaya.

Ref ( Qalaidul-jawahir Arbi Safah. 4, Matboo'aa misr  )

Aapka Ilmi Maqam 

Imam rabbani shaikh Abdul-wahab  Assho'arani Shaikhul-muhaddeseen Abdul -Haq Muhaddis dehlawi aur Allama Muhammad Bin Yahiya salabi Alaihirrahma tahreer farmate hain ki Hazrat Ghosul -Agyaas Razi'allahu ta'ala anhu yatakallmu fee salasata  Ashra ilman, terah ilmon mein taqreer irshad farmaya karte they 

Ref ( Tabaqatul -kubra jild 1, safah 207, matboo'aa misr ,  Qalaidul-jawahir safa . 38 )

Allama Sho'arani Alaihirrahma farmate hai ki Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu k madarsa Aliya mein log aapse Tafseer hadees, fiqh aur kalam ka ilm padhte the dopahar se pahle aur baad dono'n waqt Tafseer , Hadees, fiqh kalam , Usool aur nahv logon ko padhate the aur juhar k baad qira'a ton k sath quran pak padhate they.

Ref ( Tabaqatul-kubra jild 1, safah 127, Qalaidul-jawahir safa 38 , Matboo'aa  misr )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen










No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.