Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu

SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 


POST :-05

Musalmaanon ka pahla khaleefa Part 02

 Aur khaleefa kuraish se hona chahie madeena wale ( asaar ) chahate they ki ansaar se khaleefa chuna jae is tarah muhajireen aur ansaar mein yah jhagda shiddat ikhtiyar kar gaya hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu Hazrat Umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu aur Hazrat Abu ubaida Razi'allahu ta'ala anhu  khilafat ke mu'aamle par ittifaq ray paida karne ke liye dono'n girohon ke paas gae unse baat-chit kee aur unhein samajhaya Hazrat umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu ne ansaar se farmaya, "kiya tumne nahi'n suna ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne Muhajireen ko waseeyat kee ki Ansaar ke sath meharbani ka bartav karna yah baat iska suboot hai ki hukoomat w khilafat muhajireen mein hee rahegi"

Is mauqa par Hazrat basher bin ne'amaan Razi'allahu ta'ala anhu jo ansaar mein se they kaha'n ki "Ae Ansaar! tumne is baat par gaur nahin kiya ki Huzoor Akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kuraish se they, isliye ahle kuraish hee khilafat ke haq dar hain Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya tha ki imaam kuraish se honge 

Hazrat basheer kee baat kee doosre ansaar ne bhi taeed kee fir sab logon ne Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ko khaleefa chun liya kyon ki aap Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke sathiyon mein sabse zyada fazeelat wa martaba bhi rahtey they aur Qabeela kuraish se ta'alluq bhi tha jange hunain mein ek mauqa par Hazrat Abu gaffari  Razi'allahu ta'ala anhu ke yah daryaft karne par ki Huzoor ! hamein bataie kee aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke ashab mein se ahmatareen shakhs kaun hai jise hum kisi mu'aamle ( aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke baad ) ke baad aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka khaleefa muntakhab kar le? 

Nabi-e-KareemSallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya ki "yah hain mere wazeer Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu jo mere baad mere qayam maqam ( matlab yah ki khaleefa ) honge, unke baad mere dost umar Razi'allahu ta'ala anhu kee bari hai jo nihayat duroost batein karte hain aur unke baad usmaan Bin Affan Razi'allahu ta'ala anhu hain jo mujh se hain aur main unse hoon aur Ali Razi'allahu ta'ala anhu mere bhaee hain jo mahashar  ( qiyamat  ke din ) mein mere sathi honge"

Ref ( Shawahid-e-nubuwwat page 245 )

Baharhal Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu musalmanon ke pahle khaleefa aur Ameerool-Momineen bane aur sabse pahle Hazrat umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu unke baad Hazrat Abu Ubaida Bin jarrah Razi'allahu ta'ala anhu aur Hazrat Basheer Bin Ne'amaan Razi'allahu ta'ala anhu ne aapki bai'at kee fir doosre tamam musalmanon ne bai'at kee 

Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne 11 hijri se 22 jumada ul saani 13 hijri tak yani do 2 saal teen maah  das din khilafat kee khaleefa muntakhab hone ke baad aapne apne pahle khutaba mein jahad kee zaroorat par zor dete hue farmaya  "jo qaum Allah ke raste mein jihad karna chod deti hai, Allah usko Zaleel w khawar karta hai"..

Ref ( Khulfa-e-Rashideen page 25 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen







No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.