Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya


Seerat ul anbiya 

Hazrat Ismaeel Alaihis'salam kee qurbani 

Hazrat ismaeel Alaihis'salam ka Abi bachpan tha abhi unki maa'n Hazrat Hazra bhi zinda thin Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne ek raat yah khwab dekha ki khuda unse kahta hai ki qurbani karo Jab wah neend se jae subah aapne 100,Sao oont qurbaan kie doosre din raat mein fir aapne wahi khawab dekha ki qurbani ka unhe hukm diya ja raha hai Jab bedar hue tou aap ne khuda ke naam par dobara 100 Sao oont qurbani kiye iske baad teesri raat ko fir aapne wahi khawab dekha us waqt Aap bahut pareshan hue ki aakhir is khawab ka kiya matlab hai aapne samjha , shayad yah ishara is baat kee taraf hai ki main apne pyare bete ismaeel ko khuda ke naam par qurban karoon Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne Hazrat ismaeel Alaihis'salam se kaha 

"Ae bete, main tujhe khuda kee raah mein qurbaan karna chahta hoon khawab mein mujhe iska hukm hua hai, tumhari apni kiya ray hai?" 

Hazrat ismaeel Alaihis'salam ne jawab diya, "aap kuch fikr na keejie aur bejhijhak mujhe qurbaan kar deejiye yadi khuda ne chaha tou aap mujhe sabr wala payenge'

Bete ko razee Pakar baap ne qurbani kee thani pyare bete ke hath-pawn bandh diye aur zibh karne ke liye Hazrat ismaeel Alaihis'salam ko zameen par litaya churi Hazrat ismaeel Alaihis'salam ke gale par chalayi ,  lekin khuda kee qudrat se Hazrat ismaeel Alaihis'salam mahfooz rahe aur aawaz aayi, "Ae ibraheem Alaihis'salam ,  toone khawab sach kar dikhaya"

Us waqt Hazrat jibraeel alaihis salam jannat se ek dumba le aaye aur usi ko ismaeel Alaihis'salam kee jagah qurban kiya gaya isi liye Hazrat Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne kaha ki qurbani ibraheem Alaihis'salam kee sunnat hai

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ke paas Hazrat jibraeel aameen ka hukm lekar aae ki tum aur ismaeel kaba kee tameer karo aur duniyawalon ko baitullah ke HAJ ke liye dawat do Hazrat ibraheem Alaihis'salam mulk sham se Makka aae aur Hazrat ismaeel Alaihis'salam ko sath lekar Kaba kee tameer shuru kar dee hazrat jibraeel aameen ne Kaba kee jagah aur uski lambaee - chaudai wagairah bata dee 

Hal yah tha ki Hazrat ismaeel Alaihis'salam patthar pahunchate the aur Hazrat ibraheem deewar banate the hazrat ibraheem Alaihis'salam ne dua kee:

☆Rabbana taqabbal minna inna-k antas sameeul aleem"

"♡Tarjuma:- khudaya, hamari dua qabool kar beshak too sunnta aur janta hai"

Hazrat jibraeel Aameen Alaihis'salam ne HAJ ka qayade aur tawaf ka tareeqa wagairah sikhaya Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne Hazrat ismaeel Alaihis'salam ko waha'n ka zimmedar banaya aur is khan-e-khuda ka unko nigra aur mutwalli banaya

Chalte waqt hazrat ibraheem Alaihis'salam ne khuda kee janab mein dua kee ki khudawand main apni aulaad ko is biyaban mein chod raha hoon toon apni qudrat se inki hifazat kar 

Haq Ta'ala ne logon ke dilon ko aisa fera ki qiyamat tak log duniya ke kone-kone se waha'n pahunchate rahenge 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam tawaf aur HAJ ke liye MAKKA aae Hazrat ismaeel Alaihis'salam ne unki badi mehamandari aur khidmat kee Biwi sara bhi razee aur khush huie Hazrat ishaq bhi Makka tashreef late aur HAJ karte aur zabeehullah Hazrat ismaeel Alaihis'salam se milte Hazrat ibraheem Alaihis'salam kee umr tamam hone ko pahunchi aap kafi kamzor ho gae malkul -maut rooh qabz karne ke liye aaya Hazrat Ibraheem Alaihis'salam ne maut ke farishte se kaha : 

"Rab se poocho ki kiya kabhi kisi dost ne kisi dost kee jaan lee hai jo meri jaan lene ka hukm diya hai"

Khuda ne farishte se kaha, "mere khaleel se kah do, kiya toone suna hai ki kisi dost ne kisi dost kee mulaqat se inkar kiya ho?"

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne yah sunte hee mulkul -maut se kaha: "Tum khuda ka hukm baja lao" Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne ek baar khuda kee janab mein darkhwast kee ki ilahi too murdon ko kaise zinda karega?"

Khuda ne farmaya, "kiya tujhe ispar yaqeen nahi hai?" 

Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne kaha, "iman aur yaqeen tou hai lekin dil kee tasalli aur itmeenan chahta hoon" 

Farmaya gaya, "char parinde lo aur unhein apne sath khoob hila-mila lo aur uska ek-ek hissa alag-alag pahadon par rakh do fir unhein bulao wah tumhare paas bhag chale aayenge" 
Ref ( Qanssul Anbiya  )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen







No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.