Abu bakr siddique radi allahu anhu
SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU
POST :-07
Usaama Bin Jaid Razi'allahu ta'ala anhu ko Naseehat
Sahaba Razi'allahu ta'ala anhu ko jawab dene ke baad aap Razi'allahu ta'ala anhu ne fauran hukm diya ki we tamam mujahideen jo Hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu ke lashkar mein shamil they, rawangi kee taiyari karein aur Madeena se bahar maqame jarf mein jama ho jaein aapka hukm milne par sab log taiyaar hokar jarf ke maqam par usaama Bin Zaid Razi'allahu ta'ala anhu ke jhande tale jama ho gae Hazrat usaama us waqt sirf 17, saal ke they aur unke lashkar mein bade-bade bujurg aur kaum ke sardar the isliye kuch sahaba Razi'allahu ta'ala anhu ne ek naujawan ko siphasaalar banae jane ko pasand na kiya
Hazrat usaama ko bhi yah baat kisi tarah maloom ho gaee ki bade-bade sardar aur bujurg sahaba Razi'allahu ta'ala anhu unko siphasaalar kee haisiyat se pasand nahin farmatey chun unhone lashkar mein shamil Hazrat umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu ke zariye Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmat mein yah paigam bheja ki in bujurg Sahaba Razi'allahu ta'ala anhu ke jane se Madeena Munawwara khali ho jaega aur andesha hai ki mushrikeen Hamla karke Madeenawalon ko Nuqsaan na pahunchein isliye in bujurgon ko apne paas rok le
Ansaar ne bhi Hazrat Umar Razi'allahu ta'ala anhu ke hath khaleefa-e-awwal ko paigam bheja ki lashkar ka sardar kisi mu'ammar , shareef aur najeeb shakhs ko mukarar farmaein Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ne yah paigam sune tou farmaya, "agar is lashkar ke rawana karne ke baad shahar khali ho jae, main tanha rah jaoon aur darinde mujhe cheer-faad dale tab bhi main is lashkar kee rawangi mulatavi na karoonga"
Aapne Ansaar ke paigam par afsos ka izhar kartey hue kaha ki unke dilon mein ab tak fakh w takabbur ka asar baaki hai fir aap lashkar ko rawana karne ke liye paidal maqame jarf pahunche aur lashkar ko rawangi ka hukm farmaya lashkar rawana hua tou Hazrat Usaama Razi'allahu ta'ala anhu apne ghode par sawar the aur Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu unke sath-sath paidal chal rahe they Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ne Usaama Razi'allahu ta'ala anhu ko is tarah rookhsat kiya ki usaama Razi'allahu ta'ala anhu ghode par sawar aur Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke jansheen ( paidal ) ghode ke sath-sath daud rahe they jab Hazrat Usaama farmatey Razi'allahu ta'ala anhu ki aap ghode par sawaar ho le tou Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu jawaab detey, "ismein kya qabahat hai agar thodi door tak rahe khuda mein pawn gubaar aalood karoon gaazee ( kafiron se ladnewale ) k har qadam par saat 700 Sao Nekiyan likhi jati hain"...
Ref ( Khulfa-e-Rashideen page , 28 )
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
No comments